Saturday, March 31, 2012

SAGAR MELA MAI SAGAR KA FAQEER


Zaroori nai hai k jin jin nazroon se yeh tahreer guzrey woh sb mutafiq hon, yeh faqat mere sath honey wala aik waqeya hai jo kaheen bhi kise k bhi sath ho sakta hai har koi apni soch apney andaz k mutabiq hi sochey ga samjhey ga or yaqeenan woh bhi yahi kahey ga k zaroori nai k uss ki soch se koi mutafiq ho k nai,

Hum jab baat kartey hain status ki tu shyad ya yaqeen hum yeh baat bhool jatey hain k Status faqat Aale'Shaan Gharoon mai taaz raftar sawareyoon mai khush lebbas loggon mai ya Muashrey Mai seyasi ya samaji shkhseyaat honey se hi hota hai?
Motte Motte kitaboon mai .....!!!

Mai apney aik Dost se jo urdu bazar mai hotey hain un se mil ker ghar ki taraf ja raha tha rastey mai lahore ke mash'Hoor aakhri aaram gah hai jahan per bohat badhey naam araam ker rahay hain kuch shaheed kuch ALLAH SWT k wali or kuch Faqeer innhen faqeeron mai aik naam Sagar Siddiqui Sahib ka bhi hai kise Taruf k mohtaaj nai. 

( jo bhi kaha Dil ki gahraeyoon ka nechoor shamil ker ka La-zawal rooh se kaha or aasa kaha k jassey koi or kaheen or kah tu sakta hai mager woh Sada-e-Sagar jassa kahan,)

SAGAR MELA mai bohat se logg or bohat se tooleyan theen jo apney apney makhsoos aandaz mai kharj-e-taseen pash ker rahay thay ya apni taskeen ka saman kar rahay thay, Mai bhi apni bicycle Ko ALLAH PAK k sapurd kartey hovey iss Mela mai shamil ho geya phir kiya har koi apni apni maste mai mast koi jhoom raha hai koi hass raha hai koi roo raha hai or mai unheen loggon ko dakhta dakhta aik faqeer k pass ja ker baith geya theek ussi aandaaz mai k jassey yeh koi mera gulaam hai ya jo chahoon ga woh maan lay ga bass kuch assi hi mille jule kafeyaat wahaan per wajha-e-taskeen kiya thee ya kiya ho sakti thee bass yeh k assey melon per aik makhsoos qessam ka cigarette  Peya ja raha tha mai nay bhi uss faqeer se ussi ki khwahish ki tu Faqeer nai koi jawab nai deya balkey mere taraf goor se dakhney laga,
Mai ney in pujabi un se apni wish ka kaha tu woh razi ho gaye or phir kaha

1- Bao g tussi ek kashhh lagana bass, kyn k pahla kashhhh mai nay laggaya hai or pata nai kiss masti mai kiya soch ker har koi kahan hamara Jhotha pee sakta hai,

Mai nay kaha tussi aan deyoo dakh lain gey kiya hota hai or mai nai 3 puff bhi purey nai leya thay k chakra geya may b mai iss ka aadi nai tha ya woh jo kah raha tha woh t heek kah raha tha,

Baat ko aagey badhata hon phir batoon batoon mai jab mai nai un se pocha k aap Sagar sb ko kabhi milley hain ya mehaz iss makhsoos shooq ko pora karney k leya aap yahaan per tashreef farma hain, 
Tu woh kahney lagey k mai bohat zeyada tu nai janta mager thoda bohat janta hon, mai ba-zid tha k kitna?
Woh kahney lagey k jiss tea ki shop per mai helper tha uss k ass pass Sagar sb bethay hotey thay or mai un ki farmaesh per un ko Tea deya karta tha or phir jab kuch dair un k pass bath jata tha tu ustad aik badhi sari gali dai ker mujh ko bula leya karta tha( Yaad rakheya ga iss guftagoh mai uss shaqs nai apni palkoon ko aik baar bhi nai japka jassey woh in batoon ko mazi ke kise kaal kothari se jhaar poch ker nekaal raha hai or us ko koi deqaat bhi nai ho rahi or woh shyaad usse halaat mai jaa pohacha hai or uss k samney woh hotel hai or aik taraf Faqeer siffaat Sagar sb.) Mujh ko ustaad ka yeh sb kuch karna acha nai lagta tha ... mai nai un ki baat kat-tay hovey kaha k uss waqat aap ki ummar kiya thee tu kahney lagey .

2- Jab Insaan Shaoor ki Sedhi Per Pahla Qadam Rakhta hai Tu woh Ummar ki Qaid se aazad ho jata hai,


Ustaad g akser un ko tea dainey se bhi mana ker deya kartey thay or mai chori chupey tea dai deya karta tha mager Sagar Sarkar ko yeh baat pasan nai thee mai kahta tha k mai apni pay mai se katwa loun ga aap tea peyo tu kahtey thay k

3- Iss tea k passey tumhari pay mai se nai kat-tain gey balkey tumhary achay amloon ki qeemat ki yeh tea mai pee rahaa hon, kyn ghatey ka soda ker rahay ho?

phir mai chup ker k aa gaya or jab tak ustaad mujh ko mere pay mai se tea nai daita tha mai tea lay ker nai jata tha or wahan per bohat logg aatey tha jo tv mai filmon mai kaam kartey thay mager woh apney jism mai uss gosht ki talash kartey rahtey thay jahan per unhoon nai teka lagana hota tha phir woh chup chaap aik simt bath jaya kartey tha or akser kagazon ko tatooltey thay or jism per kharesh kartey thay  jassey mai ker raha hon or phir un ka chahrey per aik smile aai,

Phir jab mai ney pocha k Sagar sb kise se muhabat kartey thay kiya, ( kyun k uss se judhi aik or baat hai jo mai aap saheb-a-nazar logoon tak zaroor lana chahoon ga)  Faqeer kahney laga bhai mera pahley tu yeh battaoo k muhabat hai kiya aangothi mai jadh jaye tu phir raass ana na aana warna dar dar ki thokareen. mai nay kaha mai samjha nai hon k kiya pathar or muhabat ka patthar se kiya reshta mai samjha nai , bohat hi dheeme lahjay k sath mere kandhay per hath rakhtey hovey kahney laga dakhon gher mai mother ya father sister or brother daughter and son sb k sb muhabat kartey hain aik dosrey se or uss ki umar per munhaseer hai k kis ki kitne ho gi , mai nay punjabi mai hi kaha k mujh ko smjh nai aa rahi tu kahney lagey ager aab bhi na aai tu phir kabhi nai aaye gi,
a- har gher mai koi na koi prob hai iss ka matlab yeh nai k ghar mai muhabat nai hai,
mai nay kaha theek ho geya,
b- hammari maan nai hum se kitni muhabaat ki hai or har maan karti hai phir yeh jo putter ya dhee raneyan hoteen hain kise bhi baat ko lay ker naraaz kyn ker ho jati hai maan aakhri sanss tak muntazeer hi rahte hain, per puttar nai aata ,
c- baap or beta ka reshta bhi dakhoo Muhabat hoti hai k nai in mai boloo chup kyn ker gaye ho kiya samjh mai aya hai tumhari, mai chup tha or musalsal samajhney ki koshesh mai tha,
d- ustaad apney shagirdon se kitna peyar muhabaat karta hai sara laeeq tu nai hotey woh tu poree muhabat k sath mehnaat karta hai ( lakeen yeh hamarey door k ustadon k leya hai aaj kal k tu zeyada tar ustaad  passey k yaar hain) 

4- Muhabat aab Rass aa janey wali kise cheez ka name hai, Jesay kise ko koi pathar raas aa gaeya, Kise ko koi loha ( iron ) kise ko matti, kise ko pani bass kise ko muhabaat ... uss mai aaj kal ki muhabat ko nekaal ker balkey nai yar aaj ho kal ho hoti tu muhabat hi hai jasey bhi ho jis se bhe ho bass Rass aa jayee warna Toba toba toba Barbadi hi barbadi hai ghar dost reshteydar sb k sb chaley jatey hain asse na muraad cheez hai Tum kiya samajhtey ho,

apni aankhon ko zoor se baand ker k khool ker kahney laga k tum mera imtehaan lay rahay ho ya muzaq oudha rahay ho wassey in both batoon ka tum ko koi haq nai, mai chup raha phir guusa bhi aya sb kuch bata ker iss nai yeh baat kyn ker ke khair mai nay kaha k nai assa kuch nai jo aap samjh rahay hain, mera pass waqat tha tu aaya phir baat shuroo hoi or aap se yeh bateen keen,

Pakistan k barey mai kiya kaheen gey tu kahney lagey k hum Rahmatalil'Aalmeen PBUH k maan'na'nay  waley hain, hain k nai?
G hain mager jo mai nay swaal keya hai woh kiya kuch or nai?

5- Dakhoo hum sb mil ker sirf 1 month k leya apney Farz ko pora kareen or Haqooq ko sirf 1 month k leya bhool jaeen tum khud daik laina k halaat kiya hotey hain yahaan k,

Mai nay un se ijazat chahe or kaha mujh ko jana hai or phir isb k leya bhi nekalna hai  tu kahney lagey na tum mujh se poch ker aaye thay or na mujh se poch ker jaoo, bass apney apney qadmoun per qadam rakhtey chalay jaoo jahan per tumhara qadaam khtam ho jayeen gey tu jis k qadaam hon gey woh khud se sambhal lay ga,Mai nay kaha aap sahi kah rahay hain aap mere leya DUA kejeya ga, tu kiya hi peyari baat karney lagey,

6- Mere manoo tu formula yaad rakhna Jab Raab or uss ki makhlooq mai se koi naraaz ho tu DUA jo hamari pori numaaz hai dil moom ho hi jata hai or jab Jism ( bass azzab mai na ho ) naraaz ho tu Davva,

Na chahtey hovey bhi kuch assi bateen nai lekh raha jo kise ki dil aazare ka baies baneen iss ki muazraat.

A - Mera Dost Hain Ali sb, un k father se mere dosti bohat achi hai now he 82 year old or mera sath un ki mulaqatoon ka silsela hai koi 1998 ka, aab bass farq itna hai k woh aik baat kai kai baar kartey hain laken mai outni hi baar un ki baat sun ker kuch na kuch sekh lainey ki baat zaroor sochta hon, un ki daughter ka name bhi Sagar sb nai he Rakha hai, Ali bhai k father nai apni mother se kah Ker un k leya sardeyoon mai aik garam sweater  banwaya jab woh sagar sb ki khedmaat mai nawab sb ki havale k pass pohachay tu unhoo nai yeh tohfa un se lay bhi leya or un ko aik Munqebat or aik noha bhi lekh ker deya, jo kise train mai woh bhool gaye ya choree ho gaya, jab next day un ka aamna samna sagar sb k sath hota hai tu woh dakhtey hain k Sagar sb k wajood per woh sweater nai hai tu pochney ki garaz se kahtey hain k sarkar aap ko kal mai nay jo sweater deya tha woh aap nai pahna nai hai, tu kahney lagey mujh ko mujh se bhi zeyada zaroorat mand mil gaya tha tu inkar kasey karta?

B - Sagar sb se Ali bhai k father nai yeh pocha k aap iss tarha iss halaat mai kyn ker hain kiya dukh hai jo khtam hi nai hota aap bar bar teka laga rahay hotey hain koi baat tu bata dain Sagar sb. tu aagey se Sagar sb nai kaha Anwar mai tum ko bata tu daita hon Lakeen yeh kahoo k Mera Mazee Mujh ko la do gey Waqat wapis chalna shoroo ho jayee ga, or aik garaj daar aawaaz mai kahtey hain k boloo chup kyn ho kyn chartey ho mujh ko kuch nai miley ga mai uss muqaam per hon k aab mera dard hi Mere Davva Hai,


Phir aik or Faqeer tabeyyat insaan se yeh Waqeyya suna,
K Sagar sb aik sarak kinary araam farma thay ya jiss bhi halaat mai thay k pass se aik shaks guzra or uss nai aik Chawanni 25 paisa Sagar sb ki taraf phainka or aagey chal deya tu Sagar sb nai pechay se aawaz de or uss ko bulaya jassey hi woh shaqas sagar sb k pass aaya tu Sagar sb nai kaha bhai mai Bekharee nai Faqeer hon,

Aap sb k leya dua goh khosh raheen khosheyon mai raheen jo mangen so paeen aameen sum aameen

No comments: