Tuesday, June 5, 2012

AAGER MEHSOOS KAREEN TU !!!


Hammarey Aandar Ki Kafeyaat Badaltey Kheyalaat, Be Wajaha Ki Masrofeyaat, Or Saab se aasaan kise per Tanqeed karney k aamal ko dhohratey hovey guzzar jati hai or ise kafeyaat mai hum apney aap ko kabhi Dhak'kail ker khud se shamil kartey hain or kabhi na chahtey hovey bhi iss ka hessa baan'na zaroore ho jata hai, Aapney kaam ki no'eyaat ko samney rakhtey hovey koi hamarey leya bohat khass ho jata hai or kaam nekal janey k baad utna hi aam balkey jiss ko hum shamil-e-guftagoh bhi na lana chahtey hon, Tabdeeleyon ki Dua karney ki aadaat se majboor mager khud ko tabdeel karney ki salaheyaat se mahroom, bartaoo khud se hammayeshah acha chahna or kise se achai ager bass ho jaye tu ho jaye warna wohi baaten kyn kab kahan kaisey uss nai yeh kaha hum nai woh suna etc. kiya kareen?
Chaleen baat kartey hain khud ko badalney ki,
kise ki yaad mai bahney walay aansoon ki jagah kiya hum kahkaha laga saktey hain? gair muhazib ho jaye ga na, hai na!
Kise k achay bartaoo ko yaad ker k aager roeen tu yeh baat zahir ho gi k bohat mazboot hain hum, ya isse tarha ka kuch or!
Tamashah dakh ker uss ko khattam kon karta hai, apney be-bass ya be-hiss honey ka saboot daitey hain!
Qayyamat ki neshaneyon ko kai baar dohra ker bhi apna ulloo sedha karney k hunaar se labraiz hain hum, koi shaq!
Ker Bhala so ho bhala..... bohat bari baat hai,
Chooti baat tu yeh bhi hai pass ker ya bardasht ker,

Maqrooh chahroo per Dastaar dakhi hai,
Noor keychar mai kaheen kawaal sambhaley ho ga,

Wassey farq kahan aa ker parta hai aik dosrey se aagey nekal janey mai ya aaik dosrey ka sahara baan ker aik sath manzil pa lainey mai?
Ya aap youn bhi kah saktey hain k janab yeh tu meri manzil hai aap apni manzil badal lain ya rasta badal lain ya khud ko hi badal lain mai tu assey hi rahoon ga?
Pachtawa itna aazeem ho chuka hai k apney gunah ya aaib per nai balkey woh hath se kassey nekal gayaa ya gai per honey laga hai?
Reshtoon mai jo jitna daab jaye outna dabbana zaroore hai warna woh aap ko dabbaye ga!
Note:- Zaroore nai k aagley ka wahm-o-gumaan mai bhi kuch assi baat ho bass jo aap soch rahay hain woh theek hai ya aap ka bata baite beve etc jo aap ko mufeed mashwarey dai rahay hain wohi sb kuch hai,

Hammari mahaarat itni bahter ho chuki hai k aab hum bohat hi aasani k kise per bhi apni nakami, galat faisla daal saktey hain, or aap ki dolaat ko samney rakhtey hovey ya aap ki taqaat ko aqeedat ki negah se dakhtey hovey har koi aap ki taeed karey ga, or aap k chahrey per uss k baad aaney wali Maqrooh hassi aap k aandar k shaitaan ki taqveeat mai Sharbat-e-foulaad ka kaam karey gi or din ba din aap moqamaal  toor per hallaat-e-firoon mai nazar aaney laggain gey, wassy kitney haseen hai woh logg jo haq sach per apnei jaan ki bazi laga daitey hain, jo aaj kal order per bhi teyaar naheen karwaye ja saktey kyn hammari shenakhaat wali negah aab woh taqaat nai rakhti hum tu bass loggon ki bahoo bateyaan hi taar saktey hain, or ager koi hamari ko dakhey tu phir hamari gairaat assey jaag jati hai jassey plice ki aamaad per koi zooor se kahay chapa.
kaha jata tha hawa pani or rootti apni chaat ho peyari se larki mil jaye acha sa ghar ho,
Dil laga ker study karna zaroori hai ya commition hasil karney mai mahir hona zaroori hai,
khair waqat ka kiya hai guzzarta hai guzzar jaye ga, farq uss waqat parta hai jab hum apni soch ki semmat ko darust kareen or uss darustagi mai ALLAH SWT ki zaat-e-qareem ki khoshnoodi ko samney rakheen na ka Aahadees ka Quran-e-Pak ka hawala dai ker gandagi mai hath dhotey raheen, mukhtalif tarha ka jadoo toonon ko apna hatheyaar banatey hovey izzatoon se khelwaar kartey raheen,

Aager Chotoo ki aaman nai poch hi leya k aap ka bacha study mai kuch kamzoor hai tu munoo ki aaman fat se boleen k panja lara k dakh loo behan tumharey parakoo pachey ki aain'naak naa toor de tu kehna, abhi iss ki ummar hi kiya hai,

Khattaam kartey hain hum apni baat,,,,, isse baat per k karney do jo koi jo kuch bhi kar raha hai aabhi Pakistan ki ummar hi kiya hai!

No comments: