Tuesday, June 26, 2012

SOCH SE SAMAJH TAK ....!!!

Mosaam badaltey hain or apney assraat se har insaan ki zindagi mai kaheen na kaheen kuch na kuch chang bhi lai ker aatey hain kuch wazeh ho ker nazar aaney lagta hai or kuch naazar aatey hovey bhi hum dakhna nai chahtey,
Aaksar o beshtaar hammari soch or uss ka mehwaar kuch assa hota hai k beyan kareen tu kiya? samjhaen tu kassey?
Koi hammari zaat ko apni meraas samajhta hai or koi faqat apni zaat ko hi har kise ki zaat mai dakhna chahta hai, Tabdeeli aa ker bhi apna woh muqaam haseel nai kar patee jaiss se hum insaan tu insaan balkey janwaroon per bhi uss ke assraat murratab houn gey.
Tajassus ki baat kabhi ta'aajub ki baat, kabhi kuch sekh lainey ki khwaish, kabhi kuch samjhaney ka boot, un chottii chottii tetleyoon jassi soch leya aik hi lamhey mai bohat kuch soch laina samjh laina or samjhaney ki bari kuch samjha na pana mager apni zid per qaeem rahna, 
Mazee k darechon per ja ja ker dastak daina or phir wahaan se bhaagh aana, aaj mai zinda rahna or mazi ki tareef karna, apney apney dour ki woh khobeyaan beyaan karna jo shayaad theen mager makhsoos loggon tak uss ki rassai thee mager bass hum suni sunaee batoon ka hafiz hain,
Media hammari tarbeyaat kuch assay karey ga kabhi socha bhi nai tha, har ghar mai aik new seyasatdaan moujood hai,
garraz yeh k aik aiise kechri paki hoi hai k na khaa saktey hain na choor saktey hain,
Sachai ka darass dainey walay bhi jab joth ki goud mai parwaan chadh rahay houn tu uss qoom ka kiya haal ho ga, barabari ki bateen karney walay ander se itney ganday hain k aager un k raaz khool ker sb k samney aa jaeen tu koi aik dosrey ko apni moun bhi na dekha sakey,
Qadam qadam per janey aanjaney mai hamara trust break hota hai, or aaham baat yeh k badqesmati se hum uss k bhi aadi hovey jatey hain, 
Yahan per tu yeh hessab hai k Samjhaney waley bohat hain lakeen Samajhney wala koi nai, aik waqat tha k samjhney k leya bohat thay mager samjhaney wala koi nai tha jo aaya loutaa apna or apni zaat se wabasta loggon k pait bhara, itna bhara k zaat tak badalney ki noobateen aa gaeen, phir dakkar marney ki koshesh mai bohat se bemareyoon ko apna aahsan dost bhi bana leya or jab woh dost baan gaeen tu phir hawaas nai apna moun or khool leya k mai rahoon na rahoon meray pechay walay kaheen harraam se mehroom na rah jaeen, kaheen koi badnaseeb un ko halaal ka pata na bata dai so yeh zema daree meri hi hai k halaal ko haraam or haraam ko halaal kasey karna hai, assay azeem logg bhi hamarey ird gird moujood hain or bohat badhi tadaad mai hain jin ko hum chah ker bhi bura nai kaheen gey kyn k hamarey apney chotey chotey bachay ya bahaan bhai tu houn gey hi na....
Itna sb kuch kah lainey k baad or sah lainey k baad jo hamarey ander ka insaan ya woh bacha jo hum apni padaish k sath iss dunyan mai baan ker aaye thay jiss ko kise gunah k koi ata pata nai tha aik lamhey k leya hum se swaal karey k aaoo na zara kise pur fiza mahool mai chaltey hain chaloo aoo kaheen door khaito or khalyanoon mai chaltey hain jahan per har koi tumhara dost hi hai koi waddaira nai hai koi zameedar nai hai sb k sab wahan per prind chareend hain jo ALLAH SWT ki paida karda naimatoon ka shuker ada kartey hain or uss aawaaz mai bohat luttaf hai mehsoos karney ki baat hai, tu kiya aap ja paeen gey?
Aap yaqeenan yahi socheen gey k kharchay bohat zeyada hain study hai bachoon k prob hain ,,, or bachoo ki apni prob houn gi chah ker bhi enjoy nai ker paeen gey ALLAH SWT ka shuker baja laney wali makhlooq ko bohat qareeb se mehsoos karta hova nai dakh paeen gey or phir isse bheer mai kaheen gum sum uss sms ya uss phone call ki shakal mai badal jaeen gey k he or she is no more!!!

Aapney aap k sath insaaf ker paeen gey?
Aapni zaat se wabasta reshton ko samjha paeen gey k un ka aap per jo haq hai so hai un ka kiya faraz hai or aap k un per kiya haq hai?
Darras gah ko faqqat aik darras gaah hi samjh paeen gey kiya hum?
entertainment ko education ya apney mind makeup tak nai aaney dain gey?
Lamhoo ko Fitraat se mehsoos kareen gey or uss mai Qudraat ka shahkaar daikh paeen gey kiya?
Sb kuch sb k leya mumken tu nai mager Socha ja sakta hai? socheen or Aamal paira houn!!!

No comments: