Friday, November 19, 2010

Yeh Jo Teray Begear ........! - ADHOURA AKS ™ ادھورا عکس INCOMPLETE IMAGE

Bohaat Se Logon Ki Naazer Se Yeh Tehreer Guzrey Gi,
Har Koi Aapna Aapna Andaz se Sochey Ga Mehsoos Kery Ga,
Dard Mehsoos Kiya Jata Hai Nazaar Naeen Aata...! Ager Aata Hai Tu
Aankh Se Behnay Wala Aansoo....!
Zakmon Se Resney Wala Lahoo....!
Zubaan se Beyaan Honey Waley Ilfaaz....!

Phir B Bohaat Kuch Kehna Chahtey Hova B Hum Kuch B Naheen Keh Paatey, Ager Kuch Kehta B Hain Tu
Ya Hum Samjha Naheen Paatey Ya Koi Samajh hi Naheen Paata...!
Aasa Kyun Hota Hai?
Aaksaar Ya Kabhi Kabhi Hum ek Choti C Baat Ko La Ker K,
Zindagii Ko Bohat Hi Mushkeel Bana Latai Hin,
Aasa Kyun Ho jata hai?
Kabhi Hum....,
Or,
Kabhi Hammary Hum Se Bohat Dour Chalay Jatey Hain,
Chah Ker B Un Ko Qareeb Naheen Bulla Saktey,
Khud Tu Mehsoos Kearty Ek Umar Guzaar Jattii Hai Mager Hum Yeh Aahsaas Un Ko Dela Naheen Saktey,
Khud Ki Jhothii Aana Ko Hum TaQdeer Ka Khaal Kehtay Hain Or Kabhi Kisse Ki Majboorii Ko Na Samajhtey Hova Hum Uss Ko Be_Wafa B Keh Deaty Hain,

Lakh Bura Kaheen Bhala Kaheen Kuch B Kaheen Per Un K Bena Zindagii Bohat Hi Na Muqamaal C Lagtii Hai...!

Hum Jeet Ker B Haar Jatey Hain...,
Kabhi Khud Kabhi TaQdeer Se...,
OR Aapney Zameer Ki Addalat Mai Khud K Khelaf Honay Walli Bagawaat Mai Aapni Jhoot Ki Aana Ko Jab Umar Qaid Ki Saza Miltey Dakhtey Hain Tu .....!
Yadoon Ki Kalli Seyaah Khothree Mai Har Har Lamhey Roz Jeetay Or Martay Hova Waqaat Guzaarty ....,
Or Dunyaan K Samney Khud Ko Jhoth Mouth Ki Muskaan Mai Lepta Hova Rakhna Hi Muqdaar Baan Jaata Hai OR ....,
OR Kiya Kuch B Tu Naheen...,
"KUCH B NAHEEN"



Yeh Jo Teray Begear G Rahay Hain Hum
Aapna Zakamoun Ko See Rahay Hain Hum


Kassey Kahon K Tumhary Bena Ek Lamha B Bohaat Se Saloon Per Bhari Lagta Hai Phir B Sanseen Hain K Thamti Hi Naheen Dharkaan Hai K Rukti Hi Naheen Shaid Iss Leya K Har Saans Mai Har Dhadhkan Mai Tum Bassi Ho...!


ADHOURA AKS ™ ادھورا عکس INCOMPLETE IMAGE

Tum Se Hai Meri Zindaganii - ADHOURA AKS ™ ادھورا عکس INCOMPLETE IMAGE

Yeh Sach Hai K Mujh Mai Voh Baat Naheen Jo Tujh Mai Hai,
Teri Aankhon Ki Zubaan,
Teri Dhadhkan Ki Pukkaar,
Teri Sansoon Ki Garmi,
Tera Hounton Ki Narmi,
Terii Zulfoon Ki Gehhri Seeyaah Raat,
Teri Aankhon Ki Barsaat,
Mai Ek Aawara Khyaal...! Jazboon Se Khelwaar Karna Wala Ek Gumrah Soch Ka Mailk,
Tumharey Sb Jazbay Mera Leya Ek Khwaab Thahray,
Chah Ker B Naheen Rook Sakta Khud Ko,
Or Jab Jab Mai Moudh Ker Dekhta Hun Tumhari Aankhon Ko Aapna Muntazeer Dakhta Hun,
Jin Aankhon Mai Mujh Ko Laa Ker Bohaat Se Khwaab Hain....!
Assa Kyun Hai?
Thaak Jao Gi,
Toot Jao Gi,
Bekhaar Jao Gi,
Chah Ker B Khud Ko Samaat Naheen Pao Gi....!
Tumhari Soch Jo Mujh Ko Faqaat Aak Waqti Oubaal Lagta Hai,
Na Tu Mera Dil Moom Ker Sakta Hai Or Wassy B Dil Will Kuch Naheen Hootta,
Just Aak Waqti Reshta Phir 2 Jism Bojh Baan Jatey Hain Ek Dojay K Leya,
Per Kuch Naheen Sb Kuch Bakaar Ki Baaten Hain....!
Mai Tumhary Qabeel Kabhi Tha Naheen Or Hota B Tu Kiya Ho Jaana Tha Assa Kassy Peyar,Muhabaat,Ishq Janoon etc... Yeh Badhi Badhi Bateen Mera Chottay Mind Mai Naheen Aati Hain...,
Per Aak Baat Kahon Tumharay Chahray K Noor Dakh Ker Aankhon Ki Kashish Dakh Ker Or Jiss Tarha Se Tum Haalat-e-Mutmaeena Mai Rehtti Ho Mai Dar Jaata Hun Or Mujh Ko Tum Or Tumhari Muhabbat Itni Aazeem Lagtti Hai K Mera Wajood-e-Fani mai Kap-kappi C Sheedh Jatti Hai, Mera Aapna Wajood K Battwaray Mera Samnay Hottay Hain Mera Zameer Khud Se Mera Saamnay Aa Jaata Hai Jo Meri Ghatteya Soch Or Mera Aander K Zehaar -o- Gallazaat Ko Mera Hi Chahra Per Malta Hai...!
Rooz Ek Nai Mout Marta B Hun Or Zinda B Hun Kiya Hun Mai???
Mai Samajhna Chahta Hun Dakhna B Chahta Hun, Per Mumken Naheen Shaaed Iss Leya k Mera Sabar Itna Mehdood Hai K Shuroo Hone Se Pehlay Hi Khtaam Ho Jata Hai,
Tera Wajood-e-Fanni Ki Khwahish Aab Naheen Teri Roh Mai Sama Jana Ki Soch Perwaan Chadhtii Hai Or Mai Jhtak Deata Hun K Yeh Sb Bachon Ki C Baat Hai,
Mera Chahnay Wala Ki Muqaam Per Hai Teri Chahaat K Mai Aapni Zaat Ko Leya Tamashah Aapni Hi Nazroon Mai Baanta Ja Rahaa Hun,
Mujh Per Taras Mera Ander Ka Insaan Hi Naheen Kha Raha Tu Koi Kyun Khaya Ga,
Kitna Aasan Tha Mera Leya Teri Masoom Muhabaat Ko Tamashaey Ki Nazaar Se Dakhna,
Teree Pakezaa Scoh Ko Aapni Gandhi Gateyaa Scoh K Sath Mellana
Hun Tu Insaan Hi.... Yeh B Tu Bardasht Naheen Hota K Koi Mujh Se Aaga Nekaal Jay Or Mai Pechay Reh Jaon...!
Kyun Mai Naheen Kuch B Assa Hona Doun Ga (Per Mera Aapna Bass Mai B Tu Kuch Naheen Hai)
Tujh Ko Teri Chahat Ko Yaqeen K Daaeray Mai Laon Tu Khud Per Yaqeen Naheen Rehta...!
Kyun Hai Aasa Kyun Hai Tera Janoon Assa K Koi Naheen Tera Jassa Koi Naheen,
Kyun Hai Tujh Ko Mujh Se Itnii Muhabaat Or Mujh Ko Tu Kuch B Naheen Aata Na Pata Hai Or Teri Soorat, Terii Aankhen, Terii Bateen, Mera Hesaar Keya Rehttii Hain,
Mera Chehra Aab Tera Aks Banta Ja Raha Hai Tera Janoon Ki Inteha Mai Aager Mai Doob Geya Tu Yeh Chahaat Ki Gehraii Ho Gi Ya kuch Or...!
Aager Kuch Or B Hova Tu Kiya Koi Nai Baat Hi Ho Gi....!
Aakser Mera Gird Ek Aawaz Aati Hai, Pegaam Laati Hai Mujhy Sattati Hai, K Tu Nai Mujh Ko Yaad Keya Hai....!


Raaz Ko Raaz Hi Rehna Do Goh K Yeh Sach Hai K Tera Ishq Mai Aab Mai Mai Naheen Teri Chahaat K Tarasha Hova Voh Bout Hun K Jiss Ki Aankhen Aab Purnam Rehtti Hain,
Jiss Ko Teri Khwahish Iss Tarha Se Hai K Ager Tu Naheen Hai Tu Phir Mai B Meet Jaon,
Aajab Aajab Khawaheshahat Pada Honney Laggi Hain Or Mai Chup Chaap Aapni Soch, Feqaar, Taalb-e-Mukhtasaar, se La Tamaam Tak Ka Safar Karna Nekaal Padha Hun,
Tera Ishq Mai Tera Janoon Mai Tera Leya .....!
Kis Muqaam Per Laa Aai Hai Chahat K Tujh Ko Paa Lana Ki Khwahish Nai Iss Tarha Se Daam Toudh Deya k Yeh Kafi Naheen K Mai Tera Ho Geya Hun... Tera Janoon Nai Mujh Ko Woh Rang Deya Hai K Jo Dakhaa Kahaa Dewaana Tu Yeh Aahsaas Hona Ko Aata Hai K Koi Tujh Se Mansoob Karna Ko Hai Tera Kehna Ko Hai,
Haan Mai Tasleem Karta Hun K Teri Muhabaat Ki Pakeezgii
Terii Soch, Feqqar, Tera Dakhna, Tera Bolna, Mera Leya Assa Hai K Jassey Mera Lafz Teri Zubaan Bollen, Meri Aankhen Tera Deya Hova Manzaar Dakheen, Dil Mera Per Dhadhkan Teri Ho Soch Meri Or Khayaal Tera Hun.....,
Doob Geya Hun Mai

Haan Mai ALLAH PAK Ki Zaat-e-Kareem Ko Hazzero Nazeer Jaan Ker Kehta Houn,



"Tum Se Hai Meri Zindaganii,"






ADHOURA AKS ™ ادھورا عکس INCOMPLETE IMAGE

Chup Rahoun..... Ya, Kahoon? - ADHOURA AKS ™ ادھورا عکس INCOMPLETE IMAGE

Mai Rastey Se Bhtka Hova Ek Assa Insaan K Jo Shuker K Sath Sath Tera Zekkar B Bhoolta Ja Raha Hai....!
Ek Taraf Yeh Teh Tahhra Hai K Teri Taraf Hi Lout Ker Aana Hai Or Dosri Taraf Teri Makhlooq Ka Peyar....!
Ek Taraf Sb Kuch Fannii Thahra Or Dosri Taraf Isse Faani Na Faana Ker Deya Mera Sb Jazboon Ko Un Ki Haqeeqat Ko...!
Tujh Ko Choor Ker Kise Taraf Ja Naheen Sakta Kise Or Ko Dil Ka Haal Suna Naheen Sakta Majboor Hon Lachaar Hun Per Tera Shuker Guzaar Hi Rahna Chahta Hun...!
Mujh Mai Woh Baat Naheen K Un Jassa Ho Jaon Jo Tera Khass Banday Hain...!
Per Tujh Mai Yeh Baat Hai K Tu Mujh Jassay Gunagaaron Ko B Aapni Bargah Mai Hazzri Ka Sharaf Bakash Sakta Hai...!
Mera Gunah Meri Soch Mer Har Aamal Mera Sb Kuch Teri Rehmaat Ka Mamollii Se Mamollii Zara K Aaga Itna Chootey Hain Jassa Samunder Mai Barish Ki Pehlli Phoowaar ki Ek Bound....!
Meraa Aander Assa Kuch B Naheen K Koi Mujh Ko Passand Karray Meri Baat Sunnay Per Baat Tu Phir Teri Rehmaat Per Hi Aa ker Rouk Jaatii Hai Jiss K Sahaary Mai Chalta Phirta Nazaar Aa Raha Houn....,
Tujh Se Mang B Raha Hun Teri Aata Mai B hun Lakeen Woh Laffz Kahaan Se La Ker Aaon Jo Teri Shaan Beyaan Ker Paeen Tera Shuker Ada Kerna K Leya Jo Meri Zubaan Se Nekalta Hi Raheen...
Mai Aapna Sajdoon Ko B Aab Iss Qabeel Naheen Samajhta Yeh Kassi Tarap Lagga Di Hai K Jism Kiya Room Room Mai Kai Assi Lehreen outhtii Hain K Na Kaabella Beyaan Hain Belkul Aasa Hi Jassy K Mai Tera Dar Per Tera Gher Per Dastak Daata Hun Kehta Hun Nazaar-e-Karam Kar Mera Malik .....
Mai b Na Shukroon Mai Se Na Ho Jaoon Mujh Ko Apna Rasstay Mai Qabool Farma Tu Qadeer-e-Mutliq Hai....,

Or Mai Bhatka hova Ek Insaan....,
Jassay B Ker Lain Jassay B Soch Lain Teri Rehmaat Hi Zeyada Hai, Teray Toba K Darwazeh Hi Bulanda Or Wassi Hain....,
Meri Jhooli Mai Mera Peyaar Daal Dai Aata Ker Dai Mera Malik Teri Zaat Hai Mai Hun Or Meri Zubaan Per Swaal Kyun K Teri Zaat k Elava Koi B Meri Hajjat Porii Naheen Ker Sakta...!
Mai Tujh Se Kiya Chupaon Aapna La-lach Or Uss Mai Makkari Ka Jo Ek Chahra Aander Hai Tu Saaf Saaf Dakh Raha Hai... Mera Ander B Bahir B Zaheer B BAteen B, Phir B Tujh Se Hi Mangoon Ga Mera Malik Tujh Se hi...,
Yeh Jo Khud Se Jura Hova Mukhtasaar Se Reshtay Hain Mai Manta Hun Sb Aarzi Hain Per Yeh B Sach Hai K In Mai Peyaar Kitna Hai...!
Yeh B Sach Hai K Ek Ek Kar K Jassay Darakhton K Pattay Gir Jattay Hai Hum B Naheen Raheen Ga Rahay Gi Tu Teri Zaat...!
Or Dossri Taraf Yeh Jo Dolaat Se Zindageya Peyar Khareda Ja Rahay Hain...???
Dollat Nai Zaat Paat Din Mazhaab her Cheez per Galba Pa LeYa Hai Kamzoor Dakhta hi Dakhta itna kamzoor ho geya Hai k Aab Ager Woh Tujh ko B Pukarta Hai Tu Aawaz Uss K Sawalaat Se Hi Takra Jaatti Hai...!
Maaen Aapna Bachon Ko Dodh Wali Chaatii naheen Da Pa Raheen Or Dossri Taraf Dodh Peyar Sb Kuch Itna Zeyada Hai K Mai Thaak Jaon Ga ....!
Sardi Se Thaatharta Hova Jism B HAi Or Garam Poshaaq Mai Dunyan Aash-o-Ishraat K Maza Mai B Hai....!
Teri Zaat-e-Kareem Ko Koi Naheen Samajh Sakta Hai Teri Baant Hai Goh K Yeh B Sach Hai K Jis K Pass Jitna B Hai Uss Se Outna Ka Hesaab Leya Jayaa Ga ...!
Per Mera Aansoo B Tu Hain Na Mera Malik Jo Teri Rehmatoon k Muntazeer Hain Mera Malik Nazaar-e-Karam Ki Bheek Aata Ker ....!

Koi Kiya Scohay Ga Kiyua Naheen Kiya Samjha GA Kiya Naheen sb Bateen Kartay Hain Koi Kise K Sir Tu Naheen Dhaanpta Per Sir Se Paoon Tak Kise Ki Izaat Ko Iss Tarha Se Zaroor Dakh Laatay Hain k Jassa Iss Ko Noch Ker Khaa Jaeen Ga Goh K Gher Mai Sb Ki Mother Sis Moujood Hotti Hai....!
Iss Muashray Ka Mai B Bhaareya Na Baan Jaoon Mujh Ko Apni Rehmatoon Mai Chupa La Mera Malik Yeh Sb Kuch Meri Soch Feqar Se Naheen Mil Rahaa Hai Yeh Sb Kia Hai ...!
Mai Lamha Lamha Marta B Hun OR Phir B Teri Ata Ki Hai Azeem Muhabaat Jo Iss Fani Dunyaan Mai Mera Azeem Sathi Hai Or Aakherat Mai B Mai Tujh Se Ussi Ka SAth Mangoon Ga Chaoon GA...!
Aager Teri Dunyaan Ko Dakhta Hun Tu Ek Taraf Peyar Hi Peyar Hai Per Hum Nai FAsaad Iss TArha Se Phaala Deya k Sb Kuch Badalta Hi Ja RAhaa Hai...!Sb Kuch Mera Ekhteyar Mai Tu Sirf Apna Shuker Ada Karna Da Daa Mai Or Kluch Naheen Chahta Mera Masoom Sathi B Mujh Se Rezq-e-Halaal Ki Baat Karta Hai Mai Tujh Se Yahi Sb Kuch Keh Raha Hun K BAcha Laa Bathakna Meri Insaan Hona K Nata Fettarat Tehri Or Muaf Karna Teri Shaan ...., Aapni Shaan-e-Lazawaal K Sadqay Mai Hi Nawaaz Dai Hum Ko Malik ...!
Hum Ko Tu Tujh Se Maangna B Naheen Aata Teri Rehmatoon Ko Sochna B Naheen Aata...!
Kaheen Aapni Zaat Se Ki Galteyon Ki Paker Mai Haan!
Kaheen Apni Zubaan Ki Paker Mai Haan!
Kaheen Aapna Karda Gunahoon Ki Daldal Main Dhansta Cahala Ja Rahaay Hain!


Mera Malik Muaf Ker Da Muaf Ker Da Muaf Ker Da....!


Aameen -Sum- Aameen,





ADHOURA AKS ™ ادھورا عکس INCOMPLETE IMAGE

Thursday, October 14, 2010

Best Ghazal, Nazams, Geet & More....

ruKhoN ke chaaNd, laboN ke gulaab maange hai 
badan kii pyaas, badan kii sharaab maange hai 

maiN kitne lamhe na jaane kahaaN gaNvaa aayaa 
terii nigaan to saaraa hisaab maange hai 

maiN kis se puuchhne jaauuN ki aaj har koii 
mere sawaal kaa mujhse jawaab maange hai 

dil-e-tabaah kaa yah hauslaa bhii kyaa kam hai 
har ek dard se jiine kii taab maange hai 

bajaa ki vazaa-e-hayaa bhii hai ek chiiz magar 
nishaat-e-dil tujhe be-hijaab maange hai 

Jaan Nisar Akhtar 

---------------------------------------------- 

vo shoKh shoKh nazar saaNvlii sii ek laDkii 
jo roz merii galii se guzar ke jaatii hai 
sunaa hai 
vo kisii laDke se pyaar kartii hai 
bahaar hoke, talaash-e-bahaar kartii hai 

na koi mel na koii lagaao hai lekin na jaane kyuuN 
bas usii vaqt jab vo aatii hai 
kuchh intizaar kii aadat sii ho gaii hai mujhe 
ek ajnabii kii zaruurat ho gaii hai mujhe 

mere baraanDe ke aage yah phuus kaa chhappar 
galii ke moD pe khaDaa huaa saa 
ek patthar 
vo ek jhuktii hui badnumaa sii niim kii shaaKh 
aur us pe janglii kabuutar ke ghoNsle ka nishaaN 

yah saari chiizeN ki jaise mujhii meN shaamil haiN 
mere dukhoN meN merii har khushii meN shaamil haiN 

maiN chaahtaa huuN kii vo bhii yuuN hii guzartii rahe 
adaa-o-naaz se laDke ko pyaar kartii rahe 

Nida Fazli 

----------------------------------- 

kuchh ishq thaa kuchh majbuurii thii so maiN ne jiivan vaar diyaa 
maiN kaisaa zindaa aadmii thaa ek shakhs ne mujhko maar diyaa 

ek sabz shaakh gulaab kii thaa, ek duniaa apne khwaab kii thaa 
voh ek bahaar jo aaii nahiin uske liye sab kuchh vaar diyaa 

ye sajaa sajaaya ghar saathi merii zaat nahiiN meraa haal nahiiN 
aye kaash tum kabhi jaan sako, jo is sukh ne aazaar diyaa 

maiN khuli huii sachchaaii, mujhe jaanne vaale jaante haiN 
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logoN ko pyaar diyaa 

vo ishq bohat mushkil thaa magar, aasaaN na thaa yuun jiina bhii 
us ishq ne zindaa rahne kaa mujhe zarf diyaa, pindaar diyaa 

maiN rotaa huuN aur aasmaaN se taare tuut kar dekhtaa huun 
un logon par jin logoN ne mere logon ko aazaar diyaa 

mere bachchon ko allah rakhe in taazaa havaa ke jhokon ne 
main khushk peD khizaan ka tha, mujhe kaisaa barg-o-baar diyaa 

Ubaidullah Aleem 
-------------------------------------- 

mohabbat kii duniyaa meN mashhuur kar duuN 
mere saada dil tujh ko maGhruur kar duuN 

tere dil ko milne kii Khud aarzuu ho 
tujhe is qadar Gham se ranjuur kar duuN 

mujhe zindagii duur rakhtii hai tujh se 
jo tuu paas ho to use duur kaar duuN 

mohabbat ke iqraar se sharm kab tak 
kabhii saamnaa ho to majbuur kar duuN 

ye be rangiyaaN kab tak e husn-e-rangiiN 
idhar aa, tujhe ishq meN chuur kar duuN 

tuu gar saamne ho to maiN beKhudii meN 
sitaaroN ko sajde pe majbuur kar duuN 

nahiiN zindagii ko vafaa varnaa Akhtar 
mohabbat se duniyaa ko maamuur kar duuN 

------------------------------ 

kaam ab koii na aayegaa bas ek dil ke sivaa 
raaste band haiN sab kuucha-e-qaatil ke sivaa 

baa'as-e-rashk hai tanhaaravii-e-rahrav-e-shauq 
hamsafar koii nahiiN duuri-e-manzil ke sivaa 

hamne duniaa kii har shai se uThaayaa dil ko 
lekin ek shoKh ke hangaama-e-mahfil ke sivaa 

teGh-e-munsif ho jahaaN, dar-o-rasan ho shaahid 
begunaah kaun hai us shahar meN qaatil ke sivaa 

jaane kis rang se aaii hai gulistaaN meN bahaar 
koii naGhma hii nahiiN shor-e-salaasil ke sivaa 

(Ali Sardar Jafri) 

-------------------------------- 

qadam qadam pe sahaaroN ne saath chhoD diyaa 
paDaa jo vaqt to yaaroN ne saath chooD diyaa 

bujhii jo shamaa to parvaane ho gaye ruKhsat 
huii sahar to sitaaroN se saath chhoD diyaa 

vo be-naqaab hue phir nazar uThaa na sake 
uThii nazar to nazaaroN ne saath chhoD diyaa 

falak ke chaaNd sitaaroN se kyaa gilaa karna 
zamiiN ke chaaNd sitaaroN ne saath chhoD diyaa 

ab ishq hai na tabassum na zindagii hai na maut 
shameem aaj to yaaroN ne saath chhoD diyaa 

Shameem Jaipuri 

--------------------------- 

baateN to hazaaroN haiN miluuN bhii to kahuuN kyaa 
ye soch rahaa huuN ki use Khat meN likhuuN kyaa 

aavaargii-e-shauq se saDkoN pe nahiiN huuN 
halaat se majbuur huuN maiN aur karuuN kyaa 

karte the bohat saaz aur aavaaz kii baateN 
ab ilm huaa hamko ki hai soz-e-duruuN kyaa 

marnaa hai to suqraat kii maanind piyuuN zahar 
in rang badalte hue chehroN pe maruuN kyaa 

fitrat bhii hai bebaak sadaaqat ka nasha bhii 
har baat pe Khaamosh rahuuN, kuchh na kahuuN kyaa 

jis ghar meN na ho taaza havaaoN ka guzar bhii 
us ghar kii fasiiloN meN bhalaa qaid rahuuN kyaa 

murjhaa hii gayaa dil ka kaNval dhuup meN aarif 
khushbuu kii taraH is ke khayaaloN meN basuuN kyaa 

(Arif Shafique) 

---------------------------------- 

dukh dard meN hameshaa nikaale tumhaare khat 
aur mil gayii Khushii to uchhaale tumhaare khat 

sab chuuDiyaaN tumhaarii samandar ko sauNp diiN 
aur kar diye havaa ke havaale tumhaare khat 

mere lahuu meN guuNj rahaa hai har ek lafz 
maiN ne ragoN ke dasht meN paale tumhaare Khat 

yuuN to haiN beshumaar vafaa kii nishaaniyaaN 
lekin har ek shae se niraale tumhaare khat 

jaise ho umr bhar ka asaasa Ghariib kaa 
kuchh is tarah se maiNne sambhaale tumhaare khat 

ahl-e-hunar ko mujh pe Wasii etraaz hai 
maiNne jo apne sher meN Dhaale tumhaare khat 

Wasi Shah 

------------------------------- 

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa 
jaa tujhe kashmakash-e-dahar se aazaad kiyaa 

vo kareN bhii to kin alfaaz meN teraa shikwa 
jinko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa 

itnaa maanuus huuN fitrat se kalii jab chaTkii 
jhuk ke maiNne ye kahaa, ''mujhse se kuchh irshaad kiyaa?'' 

mujhko to hosh nahiiN, tum ko Khabar ho shaayad 
log kahte haiN ki tumne mujhko barbaad kiyaa 

Shabbir Hasan Khan Josh Malihabaadi 

------------------------------------- 

ishq ke shole ko bhaDkaao ki kuchh raat kaTe 
dil ke angaare ko dahkaao ki kuchh raat kaTe 

hijr meN milne shab-e-maah ke Gham aaye haiN 
chaara-saazoN ko bhii bulvaao ki raat kaTe 

koii jaltaa hii nahiiN, koii pighaltaa hii nahiiN 
mom ban jaao, pighal jaao ki kuchh raat kaTe 

chashm-o-ruKhsaar ke azkaar ko jaarii rakho 
pyaar ke naGme ko dohraao ki kuchh raat kaTe 

aaj ho jaane do har ek ko badmast-o-kharaab 
aaj ek ek ko pilvaao ki kuchh raat kaTe 

koh-e-Gham aur garaaN, aur garaaN aur garaaN 
Gham-zuud teshe ko chamkaao ki kuchh raat kaTe 

Makhduum Muhiuddin 

-------------------------- 

kaTegaa dekhiye din jaane kis azaab ke saath 
ki aaj dhuup nahiiN niklii aaftaab ke saath 

to phir bataao samandar sadaa ko kyuuN sunte 
hamaarii pyaas kaa rishta thaa jab saraab ke saath 
(saraab=mirage) 

baDii ajiib mahak saath le ke aaii hai 
nasiim raat basar kii kisii gulaab ke saath 

fizaa meN duur tak marhabaa ke naare haiN 
guzarne vaale haiN kuchh log yaaN se Khwaab ke saath 

zamiiN terii kashish khiiNchtii rahii hamko 
gaye zaruur the kuchh duur maahtaab ke saath 

(Shaharyaar) 

-------------------------------- 

kaun is raah se guzartaa hai 
dil yuuN hii intizaar kartaa hai 

dekh kar bhii na dekhne vaale 
dil tujhe dekh dekh Dartaa hai 

shahar-e-gul meN kaTii hai saarii raat 
dekhiye din kahaaN guzartaa hai 

dhyaan kii siiDhiyoN pe pichhle pahar 
koii chupke se paaoN dhartaa hai 

dil to meraa udaas hai naasir 
shahar kyuuN saaeN saaeN kartaa hai 

Naasir Kaazmii 

--------------------------- 

E parindo! kisii shaam uDte hue 
raaste meN agar vo nazar aaye to 
giit baarish ka koii sunaanaa use 

E sitaaro! yuuN hii jhilmilaate hue 
uskaa chehraa dariiche meN aa jaaye to 
baadaloN ko bulaa kar dikhaanaa use 
E havaa! jab use niind aange lage 
raat apne Thikaane pe jaane lage 
uske chehre ko chhuu kar jagaanaa use 

Khwaab se jab vo bedaar hone lage 
phuul baadaloN meN apne pirone lage 
mere baare meN kuchh na bataana use 

Zeeshan Saahil 

-------------------------------- 

jaisaa huuN vaisaa kyuuN huuN samjhaa saktaa thaa maiN 
tumne puuchhaa to hotaa, batlaa saktaa thaa maiN 

aasuudaa rahne kii Khwaahish maar gaii varnaa 
aage aur bohat aage tak jaa saktaa thaa maiN 

chhoTii moTii ek lahar hii thii mere andar 
ek lahar se kyaa tuufaan uThaa saktaa thaa maiN 

kahiiN kahiiN se kuchh misre, ek aadh Gazal, kuchh sher 
is puunjii par kitnaa shor machaa saktaa thaa maiN 

jaise sab likhte rahte haiN GazleN, nazmeN, geet 
vaise likh likh kar ambaar lagaa saktaa thaa maiN 

Iftikhar Aarif 

-------------------------- 

Ae dil kissi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 
Jis ne bhula diya tujhay, us ka hai intezar kyun, 

Wo na mila ga ab tujhay jis ki tujhay talaash hai, 
Rahon mein aaj beqafan teri wafa ki laash hai, 

Yeh to zara bata mujhay tu nay kiya tha pyar kyun, 
Ae dil kisi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 

Anso jo thay rukay hoay, hans ke inhe baha bhi de 
Jitnay hai daagh pyar ke ro key inhein mita bhi day 
tu ne hai phir bana liya gham ko galay ka haar kyun 

Ae dil kisi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 
Aye gi na ab to roshni ab na kisi kay naam say, 

Tu wo diya hai meray dil jo bhuja nahin sham se, 
Tootay gi phir koi kiran tujh ko hai aitebar kyun, 

Ae dil kisi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 
Jis ne bhula diya tujhay uss ka hai intezar kyun... 

-------------------------------- 

Zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya 
duniya may Khamoshi se guzar jayen ham to kya 
Hasti hi apani kya hai zamane ke samane 
ek Khwab hain jahan may bikhar jayen ham to kya 
Ab kaun muntazir hai hamare liye wahan 
sham a gai hai laut ke ghar jayen ham to kya 
Dil ki Khalish to sath rahegi tamam umr 
dariya e Gam ke par utar jayen ham to kya 

------------------------------------------------ 

Sohani Raat Dhal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay 
Jahan Ki Rut Badal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay 
* * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ 
Nazaray Apni Mastiyan Dekha Dekha Ke Sogaye 
Sitaray Apni Roshni Luta Luta ke Sogaye 
Har Ek Shaman Jal Chuki Na janay Tum Kab Aaogay 
Sohani Raat Dhal Chuki Najanay Tum Kab Aaogay 
* * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ 
Tarap Rahay Hein Hum Yahan, Tumharay Intizar Mein 
Fiza Ka Rang Aa Chala Hay Mousam-e-Bahar Mein 
Hawa Bhi Rukh Badal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay. 
Sohani Raat Dhal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay.