Thursday, October 14, 2010

Best Ghazal, Nazams, Geet & More....

ruKhoN ke chaaNd, laboN ke gulaab maange hai 
badan kii pyaas, badan kii sharaab maange hai 

maiN kitne lamhe na jaane kahaaN gaNvaa aayaa 
terii nigaan to saaraa hisaab maange hai 

maiN kis se puuchhne jaauuN ki aaj har koii 
mere sawaal kaa mujhse jawaab maange hai 

dil-e-tabaah kaa yah hauslaa bhii kyaa kam hai 
har ek dard se jiine kii taab maange hai 

bajaa ki vazaa-e-hayaa bhii hai ek chiiz magar 
nishaat-e-dil tujhe be-hijaab maange hai 

Jaan Nisar Akhtar 

---------------------------------------------- 

vo shoKh shoKh nazar saaNvlii sii ek laDkii 
jo roz merii galii se guzar ke jaatii hai 
sunaa hai 
vo kisii laDke se pyaar kartii hai 
bahaar hoke, talaash-e-bahaar kartii hai 

na koi mel na koii lagaao hai lekin na jaane kyuuN 
bas usii vaqt jab vo aatii hai 
kuchh intizaar kii aadat sii ho gaii hai mujhe 
ek ajnabii kii zaruurat ho gaii hai mujhe 

mere baraanDe ke aage yah phuus kaa chhappar 
galii ke moD pe khaDaa huaa saa 
ek patthar 
vo ek jhuktii hui badnumaa sii niim kii shaaKh 
aur us pe janglii kabuutar ke ghoNsle ka nishaaN 

yah saari chiizeN ki jaise mujhii meN shaamil haiN 
mere dukhoN meN merii har khushii meN shaamil haiN 

maiN chaahtaa huuN kii vo bhii yuuN hii guzartii rahe 
adaa-o-naaz se laDke ko pyaar kartii rahe 

Nida Fazli 

----------------------------------- 

kuchh ishq thaa kuchh majbuurii thii so maiN ne jiivan vaar diyaa 
maiN kaisaa zindaa aadmii thaa ek shakhs ne mujhko maar diyaa 

ek sabz shaakh gulaab kii thaa, ek duniaa apne khwaab kii thaa 
voh ek bahaar jo aaii nahiin uske liye sab kuchh vaar diyaa 

ye sajaa sajaaya ghar saathi merii zaat nahiiN meraa haal nahiiN 
aye kaash tum kabhi jaan sako, jo is sukh ne aazaar diyaa 

maiN khuli huii sachchaaii, mujhe jaanne vaale jaante haiN 
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logoN ko pyaar diyaa 

vo ishq bohat mushkil thaa magar, aasaaN na thaa yuun jiina bhii 
us ishq ne zindaa rahne kaa mujhe zarf diyaa, pindaar diyaa 

maiN rotaa huuN aur aasmaaN se taare tuut kar dekhtaa huun 
un logon par jin logoN ne mere logon ko aazaar diyaa 

mere bachchon ko allah rakhe in taazaa havaa ke jhokon ne 
main khushk peD khizaan ka tha, mujhe kaisaa barg-o-baar diyaa 

Ubaidullah Aleem 
-------------------------------------- 

mohabbat kii duniyaa meN mashhuur kar duuN 
mere saada dil tujh ko maGhruur kar duuN 

tere dil ko milne kii Khud aarzuu ho 
tujhe is qadar Gham se ranjuur kar duuN 

mujhe zindagii duur rakhtii hai tujh se 
jo tuu paas ho to use duur kaar duuN 

mohabbat ke iqraar se sharm kab tak 
kabhii saamnaa ho to majbuur kar duuN 

ye be rangiyaaN kab tak e husn-e-rangiiN 
idhar aa, tujhe ishq meN chuur kar duuN 

tuu gar saamne ho to maiN beKhudii meN 
sitaaroN ko sajde pe majbuur kar duuN 

nahiiN zindagii ko vafaa varnaa Akhtar 
mohabbat se duniyaa ko maamuur kar duuN 

------------------------------ 

kaam ab koii na aayegaa bas ek dil ke sivaa 
raaste band haiN sab kuucha-e-qaatil ke sivaa 

baa'as-e-rashk hai tanhaaravii-e-rahrav-e-shauq 
hamsafar koii nahiiN duuri-e-manzil ke sivaa 

hamne duniaa kii har shai se uThaayaa dil ko 
lekin ek shoKh ke hangaama-e-mahfil ke sivaa 

teGh-e-munsif ho jahaaN, dar-o-rasan ho shaahid 
begunaah kaun hai us shahar meN qaatil ke sivaa 

jaane kis rang se aaii hai gulistaaN meN bahaar 
koii naGhma hii nahiiN shor-e-salaasil ke sivaa 

(Ali Sardar Jafri) 

-------------------------------- 

qadam qadam pe sahaaroN ne saath chhoD diyaa 
paDaa jo vaqt to yaaroN ne saath chooD diyaa 

bujhii jo shamaa to parvaane ho gaye ruKhsat 
huii sahar to sitaaroN se saath chhoD diyaa 

vo be-naqaab hue phir nazar uThaa na sake 
uThii nazar to nazaaroN ne saath chhoD diyaa 

falak ke chaaNd sitaaroN se kyaa gilaa karna 
zamiiN ke chaaNd sitaaroN ne saath chhoD diyaa 

ab ishq hai na tabassum na zindagii hai na maut 
shameem aaj to yaaroN ne saath chhoD diyaa 

Shameem Jaipuri 

--------------------------- 

baateN to hazaaroN haiN miluuN bhii to kahuuN kyaa 
ye soch rahaa huuN ki use Khat meN likhuuN kyaa 

aavaargii-e-shauq se saDkoN pe nahiiN huuN 
halaat se majbuur huuN maiN aur karuuN kyaa 

karte the bohat saaz aur aavaaz kii baateN 
ab ilm huaa hamko ki hai soz-e-duruuN kyaa 

marnaa hai to suqraat kii maanind piyuuN zahar 
in rang badalte hue chehroN pe maruuN kyaa 

fitrat bhii hai bebaak sadaaqat ka nasha bhii 
har baat pe Khaamosh rahuuN, kuchh na kahuuN kyaa 

jis ghar meN na ho taaza havaaoN ka guzar bhii 
us ghar kii fasiiloN meN bhalaa qaid rahuuN kyaa 

murjhaa hii gayaa dil ka kaNval dhuup meN aarif 
khushbuu kii taraH is ke khayaaloN meN basuuN kyaa 

(Arif Shafique) 

---------------------------------- 

dukh dard meN hameshaa nikaale tumhaare khat 
aur mil gayii Khushii to uchhaale tumhaare khat 

sab chuuDiyaaN tumhaarii samandar ko sauNp diiN 
aur kar diye havaa ke havaale tumhaare khat 

mere lahuu meN guuNj rahaa hai har ek lafz 
maiN ne ragoN ke dasht meN paale tumhaare Khat 

yuuN to haiN beshumaar vafaa kii nishaaniyaaN 
lekin har ek shae se niraale tumhaare khat 

jaise ho umr bhar ka asaasa Ghariib kaa 
kuchh is tarah se maiNne sambhaale tumhaare khat 

ahl-e-hunar ko mujh pe Wasii etraaz hai 
maiNne jo apne sher meN Dhaale tumhaare khat 

Wasi Shah 

------------------------------- 

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa 
jaa tujhe kashmakash-e-dahar se aazaad kiyaa 

vo kareN bhii to kin alfaaz meN teraa shikwa 
jinko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa 

itnaa maanuus huuN fitrat se kalii jab chaTkii 
jhuk ke maiNne ye kahaa, ''mujhse se kuchh irshaad kiyaa?'' 

mujhko to hosh nahiiN, tum ko Khabar ho shaayad 
log kahte haiN ki tumne mujhko barbaad kiyaa 

Shabbir Hasan Khan Josh Malihabaadi 

------------------------------------- 

ishq ke shole ko bhaDkaao ki kuchh raat kaTe 
dil ke angaare ko dahkaao ki kuchh raat kaTe 

hijr meN milne shab-e-maah ke Gham aaye haiN 
chaara-saazoN ko bhii bulvaao ki raat kaTe 

koii jaltaa hii nahiiN, koii pighaltaa hii nahiiN 
mom ban jaao, pighal jaao ki kuchh raat kaTe 

chashm-o-ruKhsaar ke azkaar ko jaarii rakho 
pyaar ke naGme ko dohraao ki kuchh raat kaTe 

aaj ho jaane do har ek ko badmast-o-kharaab 
aaj ek ek ko pilvaao ki kuchh raat kaTe 

koh-e-Gham aur garaaN, aur garaaN aur garaaN 
Gham-zuud teshe ko chamkaao ki kuchh raat kaTe 

Makhduum Muhiuddin 

-------------------------- 

kaTegaa dekhiye din jaane kis azaab ke saath 
ki aaj dhuup nahiiN niklii aaftaab ke saath 

to phir bataao samandar sadaa ko kyuuN sunte 
hamaarii pyaas kaa rishta thaa jab saraab ke saath 
(saraab=mirage) 

baDii ajiib mahak saath le ke aaii hai 
nasiim raat basar kii kisii gulaab ke saath 

fizaa meN duur tak marhabaa ke naare haiN 
guzarne vaale haiN kuchh log yaaN se Khwaab ke saath 

zamiiN terii kashish khiiNchtii rahii hamko 
gaye zaruur the kuchh duur maahtaab ke saath 

(Shaharyaar) 

-------------------------------- 

kaun is raah se guzartaa hai 
dil yuuN hii intizaar kartaa hai 

dekh kar bhii na dekhne vaale 
dil tujhe dekh dekh Dartaa hai 

shahar-e-gul meN kaTii hai saarii raat 
dekhiye din kahaaN guzartaa hai 

dhyaan kii siiDhiyoN pe pichhle pahar 
koii chupke se paaoN dhartaa hai 

dil to meraa udaas hai naasir 
shahar kyuuN saaeN saaeN kartaa hai 

Naasir Kaazmii 

--------------------------- 

E parindo! kisii shaam uDte hue 
raaste meN agar vo nazar aaye to 
giit baarish ka koii sunaanaa use 

E sitaaro! yuuN hii jhilmilaate hue 
uskaa chehraa dariiche meN aa jaaye to 
baadaloN ko bulaa kar dikhaanaa use 
E havaa! jab use niind aange lage 
raat apne Thikaane pe jaane lage 
uske chehre ko chhuu kar jagaanaa use 

Khwaab se jab vo bedaar hone lage 
phuul baadaloN meN apne pirone lage 
mere baare meN kuchh na bataana use 

Zeeshan Saahil 

-------------------------------- 

jaisaa huuN vaisaa kyuuN huuN samjhaa saktaa thaa maiN 
tumne puuchhaa to hotaa, batlaa saktaa thaa maiN 

aasuudaa rahne kii Khwaahish maar gaii varnaa 
aage aur bohat aage tak jaa saktaa thaa maiN 

chhoTii moTii ek lahar hii thii mere andar 
ek lahar se kyaa tuufaan uThaa saktaa thaa maiN 

kahiiN kahiiN se kuchh misre, ek aadh Gazal, kuchh sher 
is puunjii par kitnaa shor machaa saktaa thaa maiN 

jaise sab likhte rahte haiN GazleN, nazmeN, geet 
vaise likh likh kar ambaar lagaa saktaa thaa maiN 

Iftikhar Aarif 

-------------------------- 

Ae dil kissi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 
Jis ne bhula diya tujhay, us ka hai intezar kyun, 

Wo na mila ga ab tujhay jis ki tujhay talaash hai, 
Rahon mein aaj beqafan teri wafa ki laash hai, 

Yeh to zara bata mujhay tu nay kiya tha pyar kyun, 
Ae dil kisi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 

Anso jo thay rukay hoay, hans ke inhe baha bhi de 
Jitnay hai daagh pyar ke ro key inhein mita bhi day 
tu ne hai phir bana liya gham ko galay ka haar kyun 

Ae dil kisi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 
Aye gi na ab to roshni ab na kisi kay naam say, 

Tu wo diya hai meray dil jo bhuja nahin sham se, 
Tootay gi phir koi kiran tujh ko hai aitebar kyun, 

Ae dil kisi ki yaad mein hota hai beqarar kyun, 
Jis ne bhula diya tujhay uss ka hai intezar kyun... 

-------------------------------- 

Zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya 
duniya may Khamoshi se guzar jayen ham to kya 
Hasti hi apani kya hai zamane ke samane 
ek Khwab hain jahan may bikhar jayen ham to kya 
Ab kaun muntazir hai hamare liye wahan 
sham a gai hai laut ke ghar jayen ham to kya 
Dil ki Khalish to sath rahegi tamam umr 
dariya e Gam ke par utar jayen ham to kya 

------------------------------------------------ 

Sohani Raat Dhal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay 
Jahan Ki Rut Badal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay 
* * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ 
Nazaray Apni Mastiyan Dekha Dekha Ke Sogaye 
Sitaray Apni Roshni Luta Luta ke Sogaye 
Har Ek Shaman Jal Chuki Na janay Tum Kab Aaogay 
Sohani Raat Dhal Chuki Najanay Tum Kab Aaogay 
* * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ ~ * * = = * * ~ 
Tarap Rahay Hein Hum Yahan, Tumharay Intizar Mein 
Fiza Ka Rang Aa Chala Hay Mousam-e-Bahar Mein 
Hawa Bhi Rukh Badal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay. 
Sohani Raat Dhal Chuki Na Janay Tum Kab Aaogay. 

No comments: