Saturday, March 31, 2012

CHnND LAMHEY MUNIR NIAZI SB K SATH


.
Wassey yeh baat aab dhaki chupi nai k apney apney fun mai jo logg kamal rakhey hovey thay jab iss dunayan fani se rukhsaat hovey tu un k hallaat kiya thay or jo hain un k kiya hain,
Badaltey insan k na khtaam honey wali havvas or uss ki taqmeel mai un eqdamaat ko hum kiya kaheen gey jo uss ki waqti  tasqeen k sath sath un-gennat loggon se ho janey walli zeyadateyoon ka na soch raha hai na sochey ga!
Be besse se aik dosrey per aaney wali hasse k elava aab kiya hai hamare pass?
Kal tak hum jin per hass rahay thay woh aaj hum per .

Yeh Lahore se wabasta baat hai or park k naam model town park jahan per mai kabhi walk k leya jaya karta tha har kaam mai jaldi bass yeh geya woh geya yeh aaya woh aaya mager iss baat se be-khabar k waqat ka kiya hai ....!
Aik rooz jassey hi hum park mai enter hotey hain samney kuch intezaam hai bathney k leya wahan per kiya dakhta hon k Munir Niazi sb or un ka hamrah aik or sahib tashreef farma hain, mai apni be-niazi mai un k pass chala geya or apney hi andaz mai un sa Salam keya or unhoon nai apney naram or aahesta se kapkapatey hovey hatth ko mere hath mai deya or aik ajeeb se thandak mehsoos hoi, dil mai aaya k Munir sb se kahoon k mere sir per peyar dain!
Mainey jassey hi iss chahat ka izhaar keya tu unhoon nai kaha kyn bhai aap nai mujh per salamti bheji or mai nai aap per aab yeh peyar kiya?
Mai ney kaha Munir sb aap k bohat badhay shair hain,
Tu kahney laggey kaka pahley mujh ko yeh tu battaon k badha shair kon hota hai?
Mai ney be sakta kaha k jiss ki baat dil mai  outtar jaye wohi badha hai,
Aik lamhey k leya mere taraf daikha or kaha jaa dooooorrrrrr ja dooor la ja k,

Kise se kiss waqat kiss lamhey kis soraat mai rahnumai mil jaye kahan pata chalta hai mager tasleem karna padhta hai k hum tammam ummar kuch na kuch sekhtey hi rahtey hain...... 


No comments: