Friday, March 30, 2012

CHALOO KHUD SE KUCH KAHEEN

Har insaan ki wabastagi kise na kise se kuch tu uss mufaad k leya hoti hai jo hamari jesmani zarooreyaat ko pora karta hai koi company ho office ho job ho ghar ho aap k jin se reshta tah hai woh logg hon iss nezaam ko chal kar rahna hai iss ko badalney ki koshesh mai hum apni zaat ko fana ker laitey hain kaheen aanso kaheen seskeyaan kaheen aander hi aander aik asse tabahe jo hum ko bazahir tu nazar nai aa rahi hoti mager aik daam se samney aati hai or hum ko hamarey peyaroon se bohaat hi dooor lai jati hai chahay jaan lai ker ya phir rassta badal ker,
Sochney ki baat ka TaaAaluq hamari uss zaroorat se hota hai jo hamarey age k sath sath hamarey aander qudrati toor per tabdeeleyan lata chala jata hai, iss mai zeyada mushqelaat uss waqat aati hain jiss waqat hum apney umeedon ko khwaheshaat ko be laggam choor daitey hain or phir tabahi ko apney aander hotey hovey mehsoos tu ker saktey hain mager rook nai saktey,
Yeh jo dard dukh ya preshaneyan hoteen hain yeh koi hamarey leya nai hain har insaan kaheen na kaheen kise na kise tarha kise ouljhaoo mai hai, Kisse nai ALLAH SWT ki raza mai apney aap ko iss tarha se masroof rakha k dunyan ki khabar hi nai rahi woh ALLAH SWT k ho gaye or ALLAH SWT un k , kise nai apney sb kuch isse dunyan mai laga deya or yeh nai k un ko dunyaan nai mile un ko bohat kuch mila ... theek ise baat ko ager hum two way mai la ker socheen gey tu aap k samney sachai aa jaye gi... like sardeyoon mai sardi or garmeyoon mai garmi ...

lakeen hum nai kiya socha hai kiya khoya hai kiya paya hai yeh hum hi bahter jantey hon gey ya iss baat ka bhi hamarey pass koi saboot nai hai k jiss ko hum apni kamyabi kah rahay hain kaheen hamari iss aik kamyabi ki wajah se koi hamara apna nakaam tu nai ho gaye kaheen koi tanha tu nai rah gaya kaheen koi assa tu nai jo aapney aanso bhi khtam ker chuqa hai or aab uss ko hechqeyaan bhi nai aateen???

Hum ko badalna tu hai na apney aap ko mager kasey mai akser sochta hon k jo chang hamarey wajood mai kaheen na kaheen aik aazaab baan ker aata hai woh kiya hota hai ?
1- kiya hum kise ko samjh nai patey
2- kiya hum apney faraeez k sath sath haqooq ki bhi baat karney lagey hain or woh bhi uss muashrey mai jahan per haq sach ki awaaz ko aik assa shoor kaha jata hai k shoor paida karney waley k sath sath uss ko bhi khtaam ker deya jata hai?
3- Kiya hum iss baat ko bhool chuqey hain k sabar se zeyada Shuker guzari mai saroor hai?
4- Kiya hum yeh nai chahtey ya jantey k hum apney aap mai rah ker jin chahaaton ka jin muhabatoon ka shumaar kartey hain woh apni haqeeqat uss waqat tak mehfooz nai rakh pateen jab tak hum apni chahtoon muhabaaton ko aazaad na kareen kitna mushkil hota hai aazaad choor ker kise ko phir usse ki qaeed mai qaeed rahna....

Aik baat bhi kahna chahoon ga k be-parwa k aander ki aagg mai jo parwa hoti hai ager hum uss parwah tak pohanchna chahen tu jal jayen gey ... bass chaltey jana hai,

Kiya aap nai kabhi nai socha ya mehsoos keya k zindagi kitni khoobsorat hai or iss mai rahney waley basney waley ager na hon tu ise zindagi mai koi charm nai hoga...
Or wohi reshtey jin reshtoon ko lai ker k aap ko zindagi haseen tareen lagtee hai aager bekhar jaye tu aap ka wajood mai aik chota sa nut (bejj) lag jata hai or uss ki aafzaeesh mai sb se zeyada kaam aap ki aankhon se behney waley be waqat k aansoo hotey hain.... phir aap ki sochoon ki hawaa or jazbaat mai kaheen na kaheen chupey woh chotey se masoom khayalaat jo kise apney ki wabastagi ka wajood bakhshtey hain jab un ka qattal hota hai or uss k lahoo se wohe bejj aik nanna munna sa poda banta chala jata hai.... or phir.....

Or phir woh chota sa poda aik Tan'aawar darakhat mai badalta chala jata hai, koi khass farq nai padhta... mager jo farq padhta hai woh aaisa hota hai k hamarey wajood mai kaheen na kaheen uss dukh dard preshani se aafzaeesh paney walay dar'akhat ki roots apna aap dekhana shuroo ker chuqi hoteen hain mager hamarey samney waloon ko iss ka kiya pata hum kahan per hain kassey hain no one have time for us if some one have ... so he or she also want to share his or her prob. har koi kuch na kuch kahna hi chahta ho ga or suntey suntey aik khabar ki se soorat mai ya sms ya call ya kise ajnabi se sorrat mai milney wali khabar ki tarha hamari bhi news aa jati hai or uss tree ko apna kaam dekhaney ka bharpoor moqa mil jata hai,

Moqa koi bahir se nai daita aandar se milta hai, apney reshtoon se milta hai apney doston se milta hai or akser apni un khwaheshaat se milta hai k jin ki taqmeel ko hum yaqeeni bananey k leya apney maqsaad-e-hayyaat tak ko kaheen pechay choor aatey hain,
Aakser apneon k leya hum apney aap ko kise gahri khai mai phaink daitey hain,
Sochney ki baat hai k hum apney aap ko kitni dafa qattal kartey hain or kitney dafa apney zameer k samney paish kartey hain,

Aik or baat, Kiya hum nai kabhi yeh socha hai k hum jo sabbar ker rahay hain iss ka end +tv hai ya -tv, like aaj mai kamzoor hon or mai wait kar raha hon k jab mai taqqat mai hun ga ya aaon ga tu i will do this or that....
Sabar ki 3 iqsaam hoteen hain aik -tv aik +tv or aik na samjh aaney wala sabar hota hai jiss ka end Shuker mai hota hai aanso aankhon mai raqs-e-wafa kartey hain uss zaat ka jo hamaeen hamaron se ya youn kah lain k ALLAH SWT k nazdeeq karte hai,
Hamarey akser dukh hamari kum Aqlee ki wajah se hi hameen kamzoor or barbaad ker daitey hain Samajh hi nai patey hum k assa kiya hai kyn hai or hamarey hi sath hai tu kyn hai, i know bohat hi mushkil hota hai k dukh dard k aanson ko khoshi k aanso kah ker hass padna or apni khosheyon k qatal-e-aam daktey hove bhi dukh dainey waley ki khair maangtey chaley jana...!!! mushkil hai na ???

Aagey badhney waley bohat hi kaam logg hotey hain mager un se bhi kam woh logg hotey hain jo hum ko aagey badhney ka rasta dekhatey hain, zaroori nai k yeh kaam insaan hi karey bass kabhi kabhi kuch dukh dard bhi assey mil jatey hain jo manzil ki taraf aik qadam hotey hain,

Bohat hi bebasi hoti hai hamari zindagi mai or mai salam karta hon un ko jo iss bebassi se bahir nekal ker apney wajood k sath sath apni Manziloon ko bhi la-haseel se haseel ki taraf moudh latey hain, 
Wassey kitna acha lamha hota ho ga un k leya jin ki manzil khod chaal ker un k pass aate hai or kahti hai k what is next?
Yaqeen k sath sath sabit-Qadmi phir apney aander ki toot phoot ko chupa ker chahrey per smile uss smile mai truth shamil karney k leya apney samney waloon ko samajhna .... mard ho ya orrat galteyaan hoteen hain,
dakhna yeh hota hai k kiya kab kahaan or kassey hova, kiss leya hova or kyn ker hova,
Aik lamhey k leya hum soch bhi lain k Taqdeer mai yahi kuch lekha tha..... tu phir ise yaqeen ko hum qaeem kyn ker nai rakhtey,
kuch aazaab assey bhi hain k jb hum se hamarey gunah or sawaab k fatway daitey hovey baat kartey hain..... bohat mushkil hota hai k koi aap ko tasleem ker lai k aap sahib-e-shaoor ho chukey hain,

Kiya kabhi socha hai aap nai !
Hum hamahsh uss lamhey ko kyn ker yaad rakhtey hain jo hamari roh ko ya wajood ki kise khwahish ki taqmeel ya taskeen ki wajah banta hai?
Hum sb aik jassey hi dukh dard mai hotey hain mager phir bhi hamari talash mai woh logg kyn ker hotey hain k yaqeen aa jaye k koi hai jo hum ko sun sakta hai theek uss tarha se k jassey hum un aazaboon se guzar rahay hotey hain!
Hamaishah aik ajeeb sa dar kyn chala aata hai k kaheen kuch galat an ho jaye kuch assa wassa....
aaj woh logg kyn ker nai miltey jo hum ko samjha sakeen bata sakeen k sb kuch galat nai hota bass kuch zaroorat aa jati hai kuch fitraat aa jati hai or kuch qudraat ...
Aapney aap se peyar karna kiya makeup karney ko kahtey hain achay libass ko kahtey hain kiss ko kahtey hain?
Aansoon ka hessab kon daita hain jo aansoon ki wajah hota hai ya jiss k leya yeh bahtey hain?
aik lamhey k leya zara socheen k aager hum se yahi swaal poch leya jaye marney k baad k faqqat woh masomeyaat louta dain jo aap ki paidaesh ki waqat aap k chahrey per thee???
yahaan tu waqat ko guzara jata hai or phir jab yeh guzzar jata hai phir uss per mattam keya jata hai, kyn?

Koi Toot Ker Chahta hai....
Koi Chaah Ker Toodhta hai....
Koi Hastey hovey Roota hai...
Koi Rootey Hovey Hasta hai....

Koi ...... kuch nai bass woh mai hun Chah ker ya Na Chah Ker bass hun,
Adhoura Aks

No comments: