Friday, November 25, 2011

KHAMOSH YAQEEN MAGER KYN?

Sath kab choodh jata hai,
Dard .... Dawa ya Dua ki mohtaji se kab aazaad ho jata hai?
Kab koi aajnabi aap ki zindagi k mai apnoo se badh ker peyara ho jata hai?
Har Shaam kyn ker kise aayse yaad mai lay jati hai jiss ko hum pa ker bhi pa nai saktey,
Wada khud se kise aasey ahsaas ka ziker jahan pora wajood aik ajnabi se peyaas mai ho or aankhon mai pani!
Kab kahan kassy apni zaat mai kise k wajood ka iqraar ho jata hai pata hi nai chalta,
Dunyan mai har nazar ko bhi dakhna hai apney reshton ko bhi dakhna hai or un jazbaat ko bhi dakhna hai jo kise k leya aik dam se aatey hain or hamashah hamashah k leya use k ho jatey hain, kahan pata chalta hai…!!!
Khud apna aap mujrem phir mulzim ya kaheen khud apney jazbaat k qattal mai mulavess socheen kahaan hassii aa jate hai or kahan aansoo bah nekaltey hain,
Wassy yeh bhi joth nai k kise bhi lamhay jab be sakhta aap ko apney lafzoo se apney mehboob ko yaad karma or phir usse yaad ko apna zawar bana ker phir aankhen band ker k uss muhabaat per sb se pahla pahra yaqeen ka laga ker phir bar bar usse yaqeen per yaqeen karma phir apney aap per uss peyar ka yaqeen karwana kitna ajeeb lagta hai jab hum sb kuch paa ker bhi haqeeqat ki dunyan k who khali hath walay bekhari hotey hain jin ko bheekh milte bhi hai tu iss tarha se jassy koi hamari dunyan mai aa ker hum ko kise or dunyan ki bateen sunaeen ya hamari ujraat ko kise assi shakal mai badal dain k hum kuch bhi na jaan sakeen k yeh hamarey sath hova hi kiya hai,
Shekwa kareen bhi tu kassy ? kiss se kareen? Apney galteyoon per kis ka naam lekh ker apney aap ko chupa ker bacha ker jeyaan?
Kerchyoon pe chalney se kercheyaan tu chubhteen hain,
Aag jala daitee hain kyn hath uss mai dhartey hain,
Haqeeqat dakh ker bhi zubaan chup chaap hai,
Bass chup ki chadar hai jiss nai tamaam yadoon ko sochoon ko apney gird iss tarha se mehsoos kiya hai jassy na chah ker bhi hum apney aap ko aik hi lamhay mai kabhi kise k itna qareeb mehsoos ker laitey hain k fasley iss tarha se chup chaap khtaam ho jatey hain k jin ko kabhi hum nai socha bhi nai hota,
Phir bhi chaltey rahna ko hi zindagi se mansoob keya jata hai assa kyn?
Bena kise matlab garaz k kyn kise aisey apney k leya hum dua goh rahtey hain jo hamari zindagi mai hota ha imager zaheer nai hota hum uss ko har lamhay apney ass pass mehsoos kartey hain mager kise ko bata nai saktey or apney aap se chupa bhi nai saktey, aa jatey hain sochon mai khyaalon mai or apney paan ka ahssas zinda ker k bohat door chalay jatey hain,
Sach tu yeh hai k hum ko kise sheqway ya sheqayaat ka haq bhi nai hai,
Hum nai khud hi apna khyaal nai rakha phir jab khyaal aaya tu bohat dair ho chuqi hoti hai koi hum mai ya hum kise ki zaat mai apney wajood ko ya phir uss ko fana ker chukey hotey hain or rah jatey hain who zakham jin ki dawa na dua be assar ho chuke hoti hai or aik assay khwaab ki tarha sb bharaam toot jatey hain jassy aankh tu khulne thee soraj ko tu nekalna tha parendoo ko chah chahana tha or apni masti mai mast un parwaoon ko hum nai uss roshni k gird zaroor dakhna tha jo uss roshni ko pa lainey k leya apni jaan gawa bathtay hain,

Kiya lekha kyn lekha koi pata nai mager bass lekh deya….