Friday, August 12, 2011

Bass Assay Hii

Baat ko shuro karney se pahlay akser yeh dakha jata hai k mai kis se baat ker raha hon or mery samney kon hai or mai kise se mukhatib hon or iss sarey amaal mai kaheen kuch galat na ho jaye... mager mai nay apney aap ko iss qaid se aazaad ker leya mai nay tumharey wajood ko apni roh mai outtar leya or aab mai ya tum nai hain aab hum hum hain or hum mai aik khaam hai jo aik sajda-e-shukar hai or kuch assa shukar hai jiss k baat har shuker apney shuker ki halaat per Rashaq karney lagta hai, nai hain pass ek dosry k mager sath tu hain bass yahi halaat hai or iss halaat mai kabhi chahray per muskaan or kabhi aankhon mai aaney walay un aansoon ka raks bhi hai jis ko apney sath khailtey dakh ker apni halaat uss masoom bachay ki se bhi lagti hai jo bool tu nai sakta hai mager roo sakta hai or apni hasi se bata sakta hai k mai kiya or kiss haal mai hon,

Jab in lamhaat ko hum apney wajood mai honey wali tabdelyon se mehsoos kartay hain tu phir koi kami ya khala khali paan nai rahta, kahan challay jatey hain hamary dunyavi reshtay or un ki zemadari jism-o-libas ki pakeezgi apney wajood ki trash khrash.... badal jata hai sb kuch apney aap se bena koi swaal kiya hovey bhi bohat se jawaab aaney lagtay hain, kaheen raat guzzarney ka naam hi nai lati thee or kaheen raat itni mukhtassar ho jati hai, or iss ka jo sb se khobsoraat or muqamaal naam hai woh tu aik ramaz ki baat hai jo aap mai jaag jati hai or phir uss ko sath leya chalna hai, kaheen aik bhi umeed nai k mehboob k sath kuch waqat guzaar paeen gey or kahee har sans mai uss ki mehak hai, kaheen bohat se parday or yaqeen ki kami hoti hai or phir aik muqaam assa bhi aa jata hai k sb kuch badal jata hai sb parday khtaam ho jatey hain aik aanso bhi bohat se samundaroon per bhari lagta hai or kaheen chahat per bardashat ka pahra k kaheen koi iss dard ko mehsoos ker k mery mehboob ko na pahchaan lai .......or kuch nai kuch nai

No comments: