Tuesday, June 26, 2012

SOCH SE SAMAJH TAK ....!!!

Mosaam badaltey hain or apney assraat se har insaan ki zindagi mai kaheen na kaheen kuch na kuch chang bhi lai ker aatey hain kuch wazeh ho ker nazar aaney lagta hai or kuch naazar aatey hovey bhi hum dakhna nai chahtey,
Aaksar o beshtaar hammari soch or uss ka mehwaar kuch assa hota hai k beyan kareen tu kiya? samjhaen tu kassey?
Koi hammari zaat ko apni meraas samajhta hai or koi faqat apni zaat ko hi har kise ki zaat mai dakhna chahta hai, Tabdeeli aa ker bhi apna woh muqaam haseel nai kar patee jaiss se hum insaan tu insaan balkey janwaroon per bhi uss ke assraat murratab houn gey.
Tajassus ki baat kabhi ta'aajub ki baat, kabhi kuch sekh lainey ki khwaish, kabhi kuch samjhaney ka boot, un chottii chottii tetleyoon jassi soch leya aik hi lamhey mai bohat kuch soch laina samjh laina or samjhaney ki bari kuch samjha na pana mager apni zid per qaeem rahna, 
Mazee k darechon per ja ja ker dastak daina or phir wahaan se bhaagh aana, aaj mai zinda rahna or mazi ki tareef karna, apney apney dour ki woh khobeyaan beyaan karna jo shayaad theen mager makhsoos loggon tak uss ki rassai thee mager bass hum suni sunaee batoon ka hafiz hain,
Media hammari tarbeyaat kuch assay karey ga kabhi socha bhi nai tha, har ghar mai aik new seyasatdaan moujood hai,
garraz yeh k aik aiise kechri paki hoi hai k na khaa saktey hain na choor saktey hain,
Sachai ka darass dainey walay bhi jab joth ki goud mai parwaan chadh rahay houn tu uss qoom ka kiya haal ho ga, barabari ki bateen karney walay ander se itney ganday hain k aager un k raaz khool ker sb k samney aa jaeen tu koi aik dosrey ko apni moun bhi na dekha sakey,
Qadam qadam per janey aanjaney mai hamara trust break hota hai, or aaham baat yeh k badqesmati se hum uss k bhi aadi hovey jatey hain, 
Yahan per tu yeh hessab hai k Samjhaney waley bohat hain lakeen Samajhney wala koi nai, aik waqat tha k samjhney k leya bohat thay mager samjhaney wala koi nai tha jo aaya loutaa apna or apni zaat se wabasta loggon k pait bhara, itna bhara k zaat tak badalney ki noobateen aa gaeen, phir dakkar marney ki koshesh mai bohat se bemareyoon ko apna aahsan dost bhi bana leya or jab woh dost baan gaeen tu phir hawaas nai apna moun or khool leya k mai rahoon na rahoon meray pechay walay kaheen harraam se mehroom na rah jaeen, kaheen koi badnaseeb un ko halaal ka pata na bata dai so yeh zema daree meri hi hai k halaal ko haraam or haraam ko halaal kasey karna hai, assay azeem logg bhi hamarey ird gird moujood hain or bohat badhi tadaad mai hain jin ko hum chah ker bhi bura nai kaheen gey kyn k hamarey apney chotey chotey bachay ya bahaan bhai tu houn gey hi na....
Itna sb kuch kah lainey k baad or sah lainey k baad jo hamarey ander ka insaan ya woh bacha jo hum apni padaish k sath iss dunyan mai baan ker aaye thay jiss ko kise gunah k koi ata pata nai tha aik lamhey k leya hum se swaal karey k aaoo na zara kise pur fiza mahool mai chaltey hain chaloo aoo kaheen door khaito or khalyanoon mai chaltey hain jahan per har koi tumhara dost hi hai koi waddaira nai hai koi zameedar nai hai sb k sab wahan per prind chareend hain jo ALLAH SWT ki paida karda naimatoon ka shuker ada kartey hain or uss aawaaz mai bohat luttaf hai mehsoos karney ki baat hai, tu kiya aap ja paeen gey?
Aap yaqeenan yahi socheen gey k kharchay bohat zeyada hain study hai bachoon k prob hain ,,, or bachoo ki apni prob houn gi chah ker bhi enjoy nai ker paeen gey ALLAH SWT ka shuker baja laney wali makhlooq ko bohat qareeb se mehsoos karta hova nai dakh paeen gey or phir isse bheer mai kaheen gum sum uss sms ya uss phone call ki shakal mai badal jaeen gey k he or she is no more!!!

Aapney aap k sath insaaf ker paeen gey?
Aapni zaat se wabasta reshton ko samjha paeen gey k un ka aap per jo haq hai so hai un ka kiya faraz hai or aap k un per kiya haq hai?
Darras gah ko faqqat aik darras gaah hi samjh paeen gey kiya hum?
entertainment ko education ya apney mind makeup tak nai aaney dain gey?
Lamhoo ko Fitraat se mehsoos kareen gey or uss mai Qudraat ka shahkaar daikh paeen gey kiya?
Sb kuch sb k leya mumken tu nai mager Socha ja sakta hai? socheen or Aamal paira houn!!!

Saturday, June 23, 2012

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR



اے عشق ہمیں برباد نہ کر




اے عشق نہ چھیڑ آ آ کے ہمیں، ہم بھولے ہوؤں کو یاد نہ کر
پہلے ہی بہت ناشاد ہیں ہم، تُو اور ہمیں ناشاد نہ کر
قسمت کا ستم ہی کم نہیں کچھ، یہ تازہ ستم ایجاد نہ کر
یوں ظلم نہ کر، بیداد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 

جس دن سے ملے ہیں دونوں کا، سب چین گیا، آرام گیا
چہروں سے بہارِ صبح گئی، آنکھوں سے فروغِ شام گیا
ہاتھوں سے خوشی کا جام چُھٹا، ہونٹوں سے ہنسی کا نام گیا
غمگیں نہ بنا، ناشاد نہ کر


‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎

راتوں کو اٹھ اٹھ کر روتے ہیں، رو رو کے دعائیں کر تے ہیں
آنکھوں میں تصور، دل میں خلش، سر دُھنتے ہیں آہیں بھرتے ہیں
اے عشق، یہ کیسا روگ لگا، جیتے ہیں نہ ظالم مرتے ہیں
یہ ظلم تو اے جلاد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 

یہ روگ لگا ہے جب سے ہمیں، رنجیدہ ہوں میں بیمار ہے وہ
ہر وقت تپش، ہر وقت خلِش، بے خواب ہوں میں، بیدار ہے وہ
جینے سے ادھر بیزار ہوں میں، مرنے پہ اُدھر تیار ہے وہ
اور ضبط کہے فریاد نہ کر


‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎

جس دن سے بندھا ہے دھیان ترا، گھبرائے ہوئے سے رہتے ہیں
ہر وقت تصور کر کر کے شرمائے ہوئے سے رہتے ہیں
کمہلائے ہوئے پھولوں کی طرح کمہلائے ہوئے سے رہتے ہیں
پامال نہ کر، برباد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 


بے درد، ذرا انصاف تو کر، اس عمر میں اور مغموم ہے وہ
پھولوں کی طرح نازک ہے ابھی، تاروں کی طرح معصوم ہے وہ
یہ حسن، ستم، یہ رنج، غضب، مجبور ہوں میں، مظلوم ہے وہ
مظلوم پہ یوں بیداد نہ کر 


‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎

اے عشق خدارا دیکھ کہیں، وہ شوخ حزیں بدنام نہ ہو
وہ ماہ لقا بدنام نہ ہو، وہ زہرہ جبیں بدنام نہ ہو
ناموس کا اس کے پاس رہے، وہ پردہ نشیں بدنام نہ ہو
اس پردہ نشیں کو یاد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 



‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎

امید کی جھوٹی جنت کے، رہ رہ کے نہ دِکھلا خواب ہمیں
آئندہ کی فرضی عشرت کے، وعدوں سے نہ کر بے تاب ہمیں
کہتا ہے زمانہ جس کو خوشی، آتی ہے نظر کمیاب ہمیں
چھوڑ ایسی خوشی کو یاد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 


کیا سمجھے تھےاور تو کیا نکلا، یہ سوچ کے ہی حیران ہیں ہم
ہے پہلے پہل کا تجربہ اور کم عمر ہیں ہم، انجان ہیں ہم
اے عشق، خدارا رحم و کرم، معصوم ہیں ہم، نادان ہیں ہم
نادان ہیں ہم، ناشاد نہ کر 


‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎

وہ راز ہے یہ غم آہ جسے، پا جائے کوئی تو خیر نہیں
آنکھوں سےجب آنسو بہتے ہیں، آ جائے کوئی تو خیر نہیں
ظالم ہے یہ دنیا، دل کو یہاں، بھا جائے کوئی تو خیر نہیں
ہے ظلم مگر فریاد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 

دو دن ہی میں عہدِ طفلی کے، معصوم زمانے بُھول گئے
آنکھوں سےوہ خوشیاں مِٹ سی گئیں، لب کو وہ ترانے بُھول گئے
ان پاک بہشتی خوابوں کے، دلچسپ فسانے بُھول گئے
ان خوابوں سے یوں آزاد نہ کر 


‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎


اس جانِ حیا کا بس نہیں کچھ، بے بس ہے پرائے، بس میں ہے
بے درد دلوں کو کیا ہے خبر، جو پیار یہاں آپس میں ہے
ہے بے بسی زہر اور پیار ہے رس، یہ زہر چھپا اس رس میں ہے
کہتی ہے حیا فریاد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 


آنکھوں کو یہ کیا آزار ہوا، ہر جذبِ نہاں پر رو دینا
آہنگِ طرب پر جُھک جانا، آواز فغاں پر رو دینا
بربط کی صدا پر رو دینا، مُطرب کے بیاں پر رو دینا
احساس کو غم بنیاد نہ کر 


‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎


ہر دم ابدی راحت کا سماں دِکھلا کے ہمیں دلگیر نہ کر
للہ، حبابِ آبِ رواں پر نقش بقا تحریر نہ کر
مایوسی کے رمتے بادل پر امید کے گھر تعمیر نہ کر
تعمیر نہ کر، آباد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 

جی چاہتا ہے اِک دوسرے کو یوں آٹھ پہر ہم یاد کریں
آنکھوں میں بسائیں خوابوں کو اور دل میں خیال آباد کریں
خِلوت میں بھی ہوجلوت کا سماں، وحدت کو دوئی سےشاد کریں
یہ آرزوئیں ایجاد نہ کر 


‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎


دنیا کا تماشا دیکھ لیا، غمگین سی ہے، بے تاب سی ہے
امید یہاں اِک وہم سی ہے، تسکین یہاں اِک خواب سی ہے
دنیا میں خوشی کا نام نہیں، دنیا میں خوشی نایاب سی ہے
دنیا میں خوشی کو یاد نہ کر

‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎ 
‎ ‎ناشاد نہ کر‎ اے عشق ہمیں برباد نہ کر‎

Ay ishq na chera k hamain
ham bhoolay huy'on ko yaad na kar
Pehlay hi boht naashaad hain hum
tu aur hamain naashaad na kar
qismat ka sitam hi kam nahi kuch
ye taazaa sitam ijaad na kar
youn zulm na kar bedaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

jis din se milay hain dono ka
sab chain gaya aaraam gaya
chehron se bahaar-e-subah gayi
aankhon se farogh-e-shaam gaya
haathon se Khushi ka jaam chhoota
honton se hansi ka naam gaya
ghamgeen na bana naashaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Raaton ko uth uth rotay hain
ro ro kar duaaen karatay hain
aankhon main tasawur dil main khalish
sar dhuntey hain aahain bharatay hain
ay ishq ye kesa rog laga
jeetay hain na zaalim maratay hain
ye zulm to ay jallaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Ye rog lagaa hai jab se haman
ranjeeda hoon main beemaar hai wo
har waqt tapish har waqt Khalish
be-Khuwaab hoon main bedaar hai wo
jeeney se idhar bezaar hoon main
marnay pe udhar tayaar hai wo
aur zabt kahe fariyaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Jis din say bandha hai dihyaan tera
ghabraae hoye say rahaty hain
har waqt taswar kar kar k
sharamaae hoye say rahaty hain
kumlaae hoye phoolon ki tarh kumlaae hoye say rahaty hain
paamaal na kar barbaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

bedard zaraa insaaf to kar
is umr main aur maghmoom hai wo
phoolon ki tarah naazuk hai abhi
taaron ki tarah masoom hai wo
ye husn-e-sitam ye ranj ghazab
majaboor hoon main mazaloom hai wo
mazaloom pe youn bedaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Ay ishq Khudaara dekh kaheen
wo shoKh haseen badanaam na ho
wo maah laqaa badanaam na ho
wo zohraa-jabeen badanaam na ho
naamoos ka us ki paas rahay
wo pardaa-nasheen badanaam na ho
us pardaa-nasheen ko yaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Ummeed ki jhooti jannat k
rah rah k na dikhla Khuwaab hamain
aa_eenda ke farzi ishrat k
waade se na kar betaab hamain
kehtaa hai zamaana jis ko Khushi
aati hai nazar kamayaab hamain
chor aisi Khushi ko yaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

kya samjhay thai aur tu kya nikla
ye soch k hi heraan hain hum
hai pahlay pahl ka tajrba aur kam umer hain hum,, anjaan hain hum
Ay ishq khudara raham o karm maasoom hain hum
naadaan hain hum naashaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

wo raaz hai ye gham aah jisay paa jaae koi to kher nahi
aankho say jab aansu bahty hain aajaae koi to kher nahi
zaalim hai ye duniya dil ko yahaan bhaa jaaye koi to kher nahi
hai zulm magr friyaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Do din hi main ahad-e-tifli k
maasuum zamaane bhool gaye
aankhon se wo Khushiyaan mit si gayeen
lab k wo taraane bhool gaye
un paak bahishtii Khwaabon k
dilchasp fasaane bhool gaye
un Khwaabon se yon aazaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

is jaan haya ka bas nahi kuch be_bas hai paraaye bas main hai
be_dard dilon ko kya hai khabr_jo pyaar aapas main hai
hai be_basi zahar aur pyaar hai ras ye zahar chupa is ras main hai
kahti hai haya faryaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Aankhon ko ye kyaa aazaar hua
har jazb-e-nihaa'n par ro dena
aahang-e-tarab pe jhuk jaana
aawaaz-e-fughaa'n par ro dena
barbat ki sada par ro dena
mutrib k bayaa'n par ro dena
ehasaas ko gham-e-buniyaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

har dam abadi raaht ka samaan dhikla k hamain dilgeer na kar
LILLAAH hbaab aab rawaan par naqsh baqa tahreer na kar
mayoosi ki ramtay baadal par umeed k gar taameer na kar
taameer na kar aabaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

ji chaahata hai ik dojy ko
yun aath pehar ham yaad karen
aankhon mein basaayen Khuwaabon ko
aur dil k Khayaal aabaad karen
Khilwat main bhi ho jalwat ka saama
wahadat ko duri se shaad karen
ye aarazooein ijaad na kar

AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

duniya ka tamaasha dekh liya
ghamgeen si hai betaab si hai
ummeed yahaan ik waham si hai
taskeen yahaan ik Khwaab si hai
duniya main Khushi ka naam nahi
duniyaamain Khushi nayaab si hai
duniya main Khushi ko yaad na kar


AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR
AY ISHQ HAMEN BARBAAD NA KAR,,NAASHAAD NA KAR

Tuesday, June 5, 2012

AAGER MEHSOOS KAREEN TU !!!


Hammarey Aandar Ki Kafeyaat Badaltey Kheyalaat, Be Wajaha Ki Masrofeyaat, Or Saab se aasaan kise per Tanqeed karney k aamal ko dhohratey hovey guzzar jati hai or ise kafeyaat mai hum apney aap ko kabhi Dhak'kail ker khud se shamil kartey hain or kabhi na chahtey hovey bhi iss ka hessa baan'na zaroore ho jata hai, Aapney kaam ki no'eyaat ko samney rakhtey hovey koi hamarey leya bohat khass ho jata hai or kaam nekal janey k baad utna hi aam balkey jiss ko hum shamil-e-guftagoh bhi na lana chahtey hon, Tabdeeleyon ki Dua karney ki aadaat se majboor mager khud ko tabdeel karney ki salaheyaat se mahroom, bartaoo khud se hammayeshah acha chahna or kise se achai ager bass ho jaye tu ho jaye warna wohi baaten kyn kab kahan kaisey uss nai yeh kaha hum nai woh suna etc. kiya kareen?
Chaleen baat kartey hain khud ko badalney ki,
kise ki yaad mai bahney walay aansoon ki jagah kiya hum kahkaha laga saktey hain? gair muhazib ho jaye ga na, hai na!
Kise k achay bartaoo ko yaad ker k aager roeen tu yeh baat zahir ho gi k bohat mazboot hain hum, ya isse tarha ka kuch or!
Tamashah dakh ker uss ko khattam kon karta hai, apney be-bass ya be-hiss honey ka saboot daitey hain!
Qayyamat ki neshaneyon ko kai baar dohra ker bhi apna ulloo sedha karney k hunaar se labraiz hain hum, koi shaq!
Ker Bhala so ho bhala..... bohat bari baat hai,
Chooti baat tu yeh bhi hai pass ker ya bardasht ker,

Maqrooh chahroo per Dastaar dakhi hai,
Noor keychar mai kaheen kawaal sambhaley ho ga,

Wassey farq kahan aa ker parta hai aik dosrey se aagey nekal janey mai ya aaik dosrey ka sahara baan ker aik sath manzil pa lainey mai?
Ya aap youn bhi kah saktey hain k janab yeh tu meri manzil hai aap apni manzil badal lain ya rasta badal lain ya khud ko hi badal lain mai tu assey hi rahoon ga?
Pachtawa itna aazeem ho chuka hai k apney gunah ya aaib per nai balkey woh hath se kassey nekal gayaa ya gai per honey laga hai?
Reshtoon mai jo jitna daab jaye outna dabbana zaroore hai warna woh aap ko dabbaye ga!
Note:- Zaroore nai k aagley ka wahm-o-gumaan mai bhi kuch assi baat ho bass jo aap soch rahay hain woh theek hai ya aap ka bata baite beve etc jo aap ko mufeed mashwarey dai rahay hain wohi sb kuch hai,

Hammari mahaarat itni bahter ho chuki hai k aab hum bohat hi aasani k kise per bhi apni nakami, galat faisla daal saktey hain, or aap ki dolaat ko samney rakhtey hovey ya aap ki taqaat ko aqeedat ki negah se dakhtey hovey har koi aap ki taeed karey ga, or aap k chahrey per uss k baad aaney wali Maqrooh hassi aap k aandar k shaitaan ki taqveeat mai Sharbat-e-foulaad ka kaam karey gi or din ba din aap moqamaal  toor per hallaat-e-firoon mai nazar aaney laggain gey, wassy kitney haseen hai woh logg jo haq sach per apnei jaan ki bazi laga daitey hain, jo aaj kal order per bhi teyaar naheen karwaye ja saktey kyn hammari shenakhaat wali negah aab woh taqaat nai rakhti hum tu bass loggon ki bahoo bateyaan hi taar saktey hain, or ager koi hamari ko dakhey tu phir hamari gairaat assey jaag jati hai jassey plice ki aamaad per koi zooor se kahay chapa.
kaha jata tha hawa pani or rootti apni chaat ho peyari se larki mil jaye acha sa ghar ho,
Dil laga ker study karna zaroori hai ya commition hasil karney mai mahir hona zaroori hai,
khair waqat ka kiya hai guzzarta hai guzzar jaye ga, farq uss waqat parta hai jab hum apni soch ki semmat ko darust kareen or uss darustagi mai ALLAH SWT ki zaat-e-qareem ki khoshnoodi ko samney rakheen na ka Aahadees ka Quran-e-Pak ka hawala dai ker gandagi mai hath dhotey raheen, mukhtalif tarha ka jadoo toonon ko apna hatheyaar banatey hovey izzatoon se khelwaar kartey raheen,

Aager Chotoo ki aaman nai poch hi leya k aap ka bacha study mai kuch kamzoor hai tu munoo ki aaman fat se boleen k panja lara k dakh loo behan tumharey parakoo pachey ki aain'naak naa toor de tu kehna, abhi iss ki ummar hi kiya hai,

Khattaam kartey hain hum apni baat,,,,, isse baat per k karney do jo koi jo kuch bhi kar raha hai aabhi Pakistan ki ummar hi kiya hai!